aur main chup raha
mere hāthoñ se merī chitā ban ga.ī
mere kāñdhoñ pe merā janāza uThā
nok-e-mizhgāñ se qirtās-ayyām par
mere ḳhuuñ se mirā naam likkhā gayā
aur maiñ chup rahā
mere bāzār kūche mire bām-o-dar
merī nādāriyoñ se sajā.e ga.e
mere afkār merī mata-e-hunar
merī mahrūmiyoñ se basā.e ga.e
aur maiñ chup rahā
merī taqdīr kā jo bhī ḳhāka banā
piile mausam ke pattoñ pe likkhā gayā
merī tasvīr mujh se chhupā.ī ga.ī
mujh ko nādīda ḳhvāboñ meñ dekhā gayā
aur maiñ chup rahā
mere alfāz ma.anī kī talvār se
sar-burīda hue gungunāte rahe
mere naġhme gadāoñ meñ bāñTe ga.e
barguzīda hue gungunāte rahe
aur maiñ chup rahā
mujh se merī tamannā ke gul chhīn kar
zard mausam ne jashn-e-bahārāñ kiyā
barf mere nasheman pe aa ke girī
dhuup niklī to is ko hirāsāñ kiyā
aur maiñ chup rahā
mere sarsabz jañgal ujāḌe ga.e
merī jhīloñ meñ ajgar basā.e ga.e
koh-e-mārāñ kī taqdīs luuTī ga.ī
be-hisī ke maqābir sajā.e ga.e
aur maiñ chup rahā
mere hathon se meri chita ban gai
mere kandhon pe mera janaza uTha
nok-e-mizhgan se qirtas-ayyam par
mere KHun se mera nam likkha gaya
aur main chup raha
mere bazar kuche mere baam-o-dar
meri nadariyon se sajae gae
mere afkar meri mata-e-hunar
meri mahrumiyon se basae gae
aur main chup raha
meri taqdir ka jo bhi KHaka bana
pile mausam ke patton pe likkha gaya
meri taswir mujh se chhupai gai
mujh ko nadida KHwabon mein dekha gaya
aur main chup raha
mere alfaz mani ki talwar se
sar-burida hue gungunate rahe
mere naghme gadaon mein banTe gae
barguzida hue gungunate rahe
aur main chup raha
mujh se meri tamanna ke gul chhin kar
zard mausam ne jashn-e-bahaaran kiya
barf mere nasheman pe aa ke giri
dhup nikli to is ko hirasan kiya
aur main chup raha
mere sarsabz jangal ujaDe gae
meri jhilon mein ajgar basae gae
koh-e-maran ki taqdis luTi gai
be-hisi ke maqabir sajae gae
aur main chup raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.