aur mere aas-pas KHwab ki kaifiyat hai
saare āsmān par bādal chhā.e haiñ
mujhe apnā ghar bhuul gayā hai
maiñ ghar se bāhar zarūrat kī koī chiiz lene ke liye niklā thā
ghar se bāhar nikalne ke baa'd mujhe apnā ghar bhuul gayā hai
ab maiñ use talāsh kar rahā huuñ
samajh meñ nahīñ aatā use kaise talāsh karūñ
ikkā-dukkā koī daraḳht
kabhī kabhī kahīñ kahīñ koī shanāsā chehra
aur dūr-darāz meñ kahīñ koī mānūs imārat
samajh meñ nahīñ aatā
aise nā-mukammal nishānoñ kī ma.arifat apne ghar tak kaise pahuñchūñgā
mere ās-pās ḳhvāb kī kaifiyat hai
aur merā dil ghar vāpas jaane ko chāhtā hai
sare aasman par baadal chhae hain
mujhe apna ghar bhul gaya hai
main ghar se bahar zarurat ki koi chiz lene ke liye nikla tha
ghar se bahar nikalne ke ba'd mujhe apna ghar bhul gaya hai
ab main use talash kar raha hun
samajh mein nahin aata use kaise talash karun
ikka-dukka koi daraKHt
kabhi kabhi kahin kahin koi shanasa chehra
aur dur-daraaz mein kahin koi manus imarat
samajh mein nahin aata
aise na-mukammal nishanon ki marifat apne ghar tak kaise pahunchunga
mere aas-pas KHwab ki kaifiyat hai
aur mera dil ghar wapas jaane ko chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.