aur phir chand nikalta hai
aur phir chāñd nikaltā hai
aur phir saarā shahr simaT kar tere ghar kā āñgan ban jaatā hai
aur shaam se pahle so jaane vaale bachche jaag uThte haiñ
aur maiñ tere saath na jaane kis kis ghar meñ jaatā huuñ
kin kin logoñ se miltā huuñ
aur tū saath nahīñ hotā hai
aur meñ tanhā hī rahtā huuñ
aur yuuñ pichhlī raat kā piilā chāñd mirī dahlīz pe kachchā sonā bikhrātā hai
bhūle-bisre chehre āñkheñ malte uThte haiñ
aur maiñ ThanDe darvāze se lag kar so jaatā huuñ
agle din maiñ kho jaatā huuñ
aur phir chāñd nikaltā hai
aur phir saarā shahr simaT kar tere ghar kā āñgan ban jaatā hai
aur phir maiñ so jaatā huuñ
aur phir chand nikalta hai
aur phir sara shahr simaT kar tere ghar ka aangan ban jata hai
aur sham se pahle so jaane wale bachche jag uThte hain
aur main tere sath na jaane kis kis ghar mein jata hun
kin kin logon se milta hun
aur tu sath nahin hota hai
aur mein tanha hi rahta hun
aur yun pichhli raat ka pila chand meri dahliz pe kachcha sona bikhraata hai
bhule-bisre chehre aankhen malte uThte hain
aur main ThanDe darwaze se lag kar so jata hun
agle din main kho jata hun
aur phir chand nikalta hai
aur phir sara shahr simaT kar tere ghar ka aangan ban jata hai
aur phir main so jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.