aur phir yun hoga
haañ ye āḳhirī sadī hai
is ke iḳhtitām par
ye zamīñ
sūraj kī giraft se nikal kar
añdheroñ meñ Dūbtī chalī jā.egī
aur kisī tārīk sayyāre se Takrā kar
TukḌe TukḌe ho jā.egī!
aur phir yuuñ hogā
zamīñ ke ik TukḌe par
ik daraḳht hogā
aur us kī chhāñv meñ
ik bhaa.ī
aur ik bahan
ik dūsre se lipaT kar
so rahe hoñge
aur shaitān
un ke talve chaaT rahā hogā
aur zamīñ kā vo TukḌā
ik na.e sūraj ke gird
chakkar kaaT rahā hogā!!
han ye aaKHiri sadi hai
is ke iKHtitam par
ye zamin
suraj ki giraft se nikal kar
andheron mein Dubti chali jaegi
aur kisi tarik sayyare se Takra kar
TukDe TukDe ho jaegi!
aur phir yun hoga
zamin ke ek TukDe par
ek daraKHt hoga
aur us ki chhanw mein
ek bhai
aur ek bahan
ek dusre se lipaT kar
so rahe honge
aur shaitan
un ke talwe chaT raha hoga
aur zamin ka wo TukDa
ek nae suraj ke gird
chakkar kaT raha hoga!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.