aur tum dastaken dete raho
jaane kyā baat hai kyuuñ niiñd nahīñ aatī hai
raat bojhal hai sitāroñ kī nazar baiThī huī
shab ke ḳhāmosh manāzir haiñ ajab ḳhauf-zada
be-amāñ jaane kise DhūñDhne kī zid meñ abas
duur ufaq paar kahīñ duur nikal jaatī hai
sub.h uThtī hai to bachpan kī umañgeñ le kar
aaj aa.egā koī raat ga.ī baat ga.ī
din guzartā hai kisī aas ke pahlū meñ ravāñ
ḳhalvateñ mahfil-e-rangīn meñ Dhal jaatī haiñ
aaheñ naġhmoñ kī sadāoñ meñ nikhar jaatī haiñ
shaam lau detī huī yaas kī ra.anā.ī meñ
kaun aatā hai ḳhayāloñ ke sivā is ghar meñ
kis ko aanā hai yahāñ kaun yahāñ aa.egā
shaam se baat banāte hue din kā Dhalnā
raat kā shaam se rañgīn kahānī sunñā
raat kī niiñd se hotī huī chīma-goī
paikar-e-nīñd kā TuuTā huā alsāyā badan
rose hotā hai yuuñ hī muddateñ guzrīñ lekin
kaash aisā ho kabhī niiñd na karvaT badle
aur tum dastakeñ dete raho ham aa.e haiñ
jaane kya baat hai kyun nind nahin aati hai
raat bojhal hai sitaron ki nazar baiThi hui
shab ke KHamosh manazir hain ajab KHauf-zada
be-aman jaane kise DhunDhne ki zid mein abas
dur ufaq par kahin dur nikal jati hai
subh uThti hai to bachpan ki umangen le kar
aaj aaega koi raat gai baat gai
din guzarta hai kisi aas ke pahlu mein rawan
KHalwaten mahfil-e-rangin mein Dhal jati hain
aahen naghmon ki sadaon mein nikhar jati hain
sham lau deti hui yas ki ranai mein
kaun aata hai KHayalon ke siwa is ghar mein
kis ko aana hai yahan kaun yahan aaega
sham se baat banate hue din ka Dhalna
raat ka sham se rangin kahani sunna
raat ki nind se hoti hui chima-goi
paikar-e-nind ka TuTa hua alsaya badan
rose hota hai yun hi muddaten guzrin lekin
kash aisa ho kabhi nind na karwaT badle
aur tum dastaken dete raho hum aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.