aurat
'aql kī bārīkiyoñ se duur hai terā ḳhayāl
tū elora kā tasavvur tū ajantā kā nikhār
tere charnoñ meñ hai gangā tū himāla kā vaqār
taaj se bhī ḳhūb-sūrat hai tirā husn-o-jamāl
'azm hai partāp kā to tujh meñ 'gautam' kā shu'ūr
terī miTTī kyā hai sonā tū sarāpā nuur hai
zindagī kā har takalluf tujh se kosoñ duur hai
phuul kī pattī se dil hotā hai terā chūr-chūr
duudh āñchal meñ hai tere aañkh terī nam bhī hai
tere dam se pyaar ko hāsil hai duniyā meñ baqā
ek pal meñ phūñk de tū ḳhirman-e-makr-o-riyā
ye haqīqat hai ki tū sho'la bhī hai shabnam bhī hai
tujh se Takkar lene vaalā āḳhirash pachhtā.egā
hogā chaknā-chūr jo dīvār ban kar aa.egā
'aql ki barikiyon se dur hai tera KHayal
tu elora ka tasawwur tu ajanta ka nikhaar
tere charnon mein hai ganga tu himala ka waqar
taj se bhi KHub-surat hai tera husn-o-jamal
'azm hai partap ka to tujh mein 'gautam' ka shu'ur
teri miTTi kya hai sona tu sarapa nur hai
zindagi ka har takalluf tujh se koson dur hai
phul ki patti se dil hota hai tera chur-chur
dudh aanchal mein hai tere aankh teri nam bhi hai
tere dam se pyar ko hasil hai duniya mein baqa
ek pal mein phunk de tu KHirman-e-makr-o-riya
ye haqiqat hai ki tu sho'la bhi hai shabnam bhi hai
tujh se Takkar lene wala aaKHirash pachhtaega
hoga chakna-chur jo diwar ban kar aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.