aurat
falsafī tujh ko samajhte haiñ numūd-e-be-būd
ulmā kahte haiñ sarmāya-e-ishrat tujh ko
ahl-e-tārīḳh batāte haiñ ki aqvām-e-ġhayūr
mānte aa.e haiñ ik hisn-e-hamīyat tujh ko
bech kar jaan ḳharīdār tire hote haiñ
be-bahā jānte haiñ ahal-e-shujā.at tujh ko
koī kahtā hai ilāj-e-maraz-e-tanhā.ī
koī kahtā hai dalīl-e-rah-e-iffat tujh ko
hūr-e-jannat hai kisī ke liye lekin koī
chāh-e-bābil kī samajhtā hai haqīqat tujh ko
tere jaur-o-sitam-o-nāz-o-talavvun ke qatīl
kaañp kar kahte haiñ nairangī-e-qismat tujh ko
koī kahtā hai tujhe sāya-e-bed-e-larzāñ
koī kahtā hai magar sarv-e-nazākat tujh ko
husn-e-sīrat pe nazar jin kī ga.ī kahte haiñ
kabhī ismat kī kabhī sharm kī mūrat tujh ko
vasl aur hijr ke aalam kā kabhī kar ke ḳhayāl
jaan kahtā hai koī jaan kī zahmat tujh ko
ai do-rangī-e-zamāna kī mujassam tasvīr
U’rafā kahte haiñ ā.īna-e-ibrat tujh ko
dekhtā huuñ tirī sūrat ko ba-chashm-e-hairat
kuchh batā tū hī ki maiñ kyā kahūñ aurat tujh ko
falsafi tujh ko samajhte hain numud-e-be-bud
ulma kahte hain sarmaya-e-ishrat tujh ko
ahl-e-tariKH batate hain ki aqwam-e-ghayur
mante aae hain ek hisn-e-hamiyat tujh ko
bech kar jaan KHaridar tere hote hain
be-baha jaante hain ahal-e-shujaat tujh ko
koi kahta hai ilaj-e-maraz-e-tanhai
koi kahta hai dalil-e-rah-e-iffat tujh ko
hur-e-jannat hai kisi ke liye lekin koi
chah-e-babil ki samajhta hai haqiqat tujh ko
tere jaur-o-sitam-o-naz-o-talawwun ke qatil
kanp kar kahte hain nairangi-e-qismat tujh ko
koi kahta hai tujhe saya-e-bed-e-larzan
koi kahta hai magar sarw-e-nazakat tujh ko
husn-e-sirat pe nazar jin ki gai kahte hain
kabhi ismat ki kabhi sharm ki murat tujh ko
wasl aur hijr ke aalam ka kabhi kar ke KHayal
jaan kahta hai koi jaan ki zahmat tujh ko
ai do-rangi-e-zamana ki mujassam taswir
U’rafa kahte hain aaina-e-ibrat tujh ko
dekhta hun teri surat ko ba-chashm-e-hairat
kuchh bata tu hi ki main kya kahun aurat tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.