aurat
harf ma.asūm the mahkūm the mahsūr bhī the
lafz maslūb hue hoñToñ pe aa ke tere
tujh ko in.aam milā
tū ki īsār thī jhankār thī mahkār bhī thī
muddatoñ jahl ke tārīk shabistānoñ meñ
zinda-dargor huī aur jalā.ī bhī ga.ī
tū ki har ruup meñ hī be-bas-o-majbūr rahī
phir bhī tahsīn ke laa.eq hai terā azm-e-javāñ
tū ne jañgeñ bhī laḌīñ jām-e-shahādat bhī piyā
tū ne ḳhutbe bhī diye shaam ke bāzāroñ meñ
tū ne fitrat ko badal Daalā thā diiñ key ḳhātir
na talātum bapā
na koī lahar hai
kaash aa.e koī
jo safīne ke TuuTe hue
kuchh shikasta se taḳhtoñ ko
phir joḌ de
mere jīvan ko vo
ik nayā moḌ de
harf masum the mahkum the mahsur bhi the
lafz maslub hue honTon pe aa ke tere
tujh ko inam mila
tu ki isar thi jhankar thi mahkar bhi thi
muddaton jahl ke tarik shabistanon mein
zinda-dargor hui aur jalai bhi gai
tu ki har rup mein hi be-bas-o-majbur rahi
phir bhi tahsin ke laeq hai tera azm-e-jawan
tu ne jangen bhi laDin jam-e-shahadat bhi piya
tu ne KHutbe bhi diye sham ke bazaron mein
tu ne fitrat ko badal Dala tha din key KHatir
na talatum bapa
na koi lahar hai
kash aae koi
jo safine ke TuTe hue
kuchh shikasta se taKHton ko
phir joD de
mere jiwan ko wo
ek naya moD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.