aurat ki haisiyat
maiñ aurat huuñ taḳhlīq-e-jahāñ kā ik sabab bhī huuñ
maiñ bilkul be-talab huuñ aur zamāne kī talab bhī huuñ
maiñ devī pyaar kī huuñ husn hī merā vasīla hai
ḳhulūs-o-sādgī zevar vafā merā qabīla hai
hunar jiine kā baḳhshā ilm kā parcham bhī lahrāyā
pale haiñ god meñ merī jinhoñ ne martaba paayā
vafādārī mohabbat hī faqat merā havāla hai
mirī aqdār kā ham-sar faqat koh-e-himāla hai
paḌhā hai 'mīr'-o-'ġhālib' 'ismat'-o-'manto' ko bhī maiñ ne
ye rangoñ meñ basī har dāstāñ goyā likhī maiñ ne
bahut farsūda rasmoñ par jalā.ī bhī ga.ī huuñ maiñ
qadāmat ke tarīqoñ se satā.ī bhī ga.ī huuñ maiñ
tijārat bhī mirī hotī rahī tohmat sahī maiñ ne
guzārī hai bahut marmar ke goyā zindagī maiñ ne
anā kī bheñT chaḌh kar aag ke sho.aloñ meñ jaltī huuñ
zamīñ meñ dafn ho jaatī huuñ aur be-maut martī huuñ
byāhī jaatī huuñ qur.ān se bhī maiñ yahāñ ab tak
ki zinda hai yahāñ par kārobārī kā jahāñ ab tak
bahut hī past huuñ aur lā.eq-e-dushnām huuñ maiñ hī
zinā bil-jabr meñ bhī morid-e-ilzām huuñ maiñ hī
maiñ insāñ huuñ farishta aur valī maiñ bhī nahīñ koī
ḳhatā kartī huuñ gangā kī dhulī maiñ bhī nahīñ koī
ki sabr-o-shukr se māmūr hai īsār se bhī dil
magar āḳhir ko thak jaatā hai yuuñ āzār se bhī dil
nahīñ darkār koī martaba daulat na zar mujh ko
ḳhudāvandā mirī qurbāniyoñ kā de ajr mujh ko
main aurat hun taKHliq-e-jahan ka ek sabab bhi hun
main bilkul be-talab hun aur zamane ki talab bhi hun
main dewi pyar ki hun husn hi mera wasila hai
KHulus-o-sadgi zewar wafa mera qabila hai
hunar jine ka baKHsha ilm ka parcham bhi lahraya
pale hain god mein meri jinhon ne martaba paya
wafadari mohabbat hi faqat mera hawala hai
meri aqdar ka ham-sar faqat koh-e-himala hai
paDha hai 'mir'-o-'ghaalib' 'ismat'-o-'manto' ko bhi main ne
ye rangon mein basi har dastan goya likhi main ne
bahut farsuda rasmon par jalai bhi gai hun main
qadamat ke tariqon se satai bhi gai hun main
tijarat bhi meri hoti rahi tohmat sahi main ne
guzari hai bahut marmar ke goya zindagi main ne
ana ki bhenT chaDh kar aag ke shoalon mein jalti hun
zamin mein dafn ho jati hun aur be-maut marti hun
byahi jati hun quran se bhi main yahan ab tak
ki zinda hai yahan par karobari ka jahan ab tak
bahut hi past hun aur laeq-e-dushnam hun main hi
zina bil-jabr mein bhi morid-e-ilzam hun main hi
main insan hun farishta aur wali main bhi nahin koi
KHata karti hun ganga ki dhuli main bhi nahin koi
ki sabr-o-shukr se mamur hai isar se bhi dil
magar aaKHir ko thak jata hai yun aazar se bhi dil
nahin darkar koi martaba daulat na zar mujh ko
KHudawanda meri qurbaniyon ka de ajr mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.