Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    mahram-e-rāz dil-navāz hai

    naġhma-e-zindagī saaz hai

    kahāñ phūloñ meñ aisī ra.anā.ī

    jaisī qudrat se ne hai paa.ī

    tere dam se hai ye jahāñ gulzār

    ne baḳhshī hai is chaman ko bahār

    hai ik phuul ḳhushnumā shādāb

    mehr-o-mah hai zamīñ pe javāb

    ne is chaman ko ra.anā.ī

    ne phūloñ ko baḳhshī zebā.ī

    qābil-e-qadr hai tirī hastī

    log kyoñ tujh pe karte haiñ saḳhtī

    jahāñ meñ vafā devī hai

    sharm-o-ḳhalq-o-hayā devī hai

    saḳhtiyāñ kis qadar uThātī hai

    harf-e-shikva na lab pe laatī hai

    raunaq-e-bazm-e-kā.enāt hai

    aur sar-chashma-e-hayāt hai

    na hotī to ye jahān-e-ḳharāb

    hotā dozaḳh is zamīñ pe javāb

    itnī mardoñ ko de ḳhudā taufīq

    qadr terī kareñ banā ke rafīq

    mahram-e-raaz dil-nawaz hai tu

    naghma-e-zindagi ka saz hai tu

    kahan phulon mein aisi ranai

    jaisi qudrat se tu ne hai pai

    tere dam se hai ye jahan gulzar

    tu ne baKHshi hai is chaman ko bahaar

    tu hai ek phul KHushnuma shadab

    mehr-o-mah ka hai tu zamin pe jawab

    tu ne di is chaman ko ranai

    tu ne phulon ko baKHshi zebai

    qabil-e-qadr hai teri hasti

    log kyon tujh pe karte hain saKHti

    tu jahan mein wafa ki dewi hai

    sharm-o-KHalq-o-haya ki dewi hai

    saKHtiyan kis qadar uThati hai

    harf-e-shikwa na lab pe lati hai

    raunaq-e-bazm-e-kaenat hai tu

    aur sar-chashma-e-hayat hai tu

    tu na hoti to ye jahan-e-KHarab

    hota dozaKH ka is zamin pe jawab

    itni mardon ko de KHuda taufiq

    qadr teri karen bana ke rafiq

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now