aurat
samundar
pyaas kaise bujhā.e
ki vo tishnagī kā dūsrā
lafz Thahrā
isī liye samundar ne
kisī kī pyaas ab tak
bujhāne kā da.avā nahīñ kiyā hai
magar vo zaat meñ apnī baḌā hai
bahut pur-āb hai
par ye sach hai
haqīqat meñ
vo be-ma.anī bahut hai
ba-zāhir be-karāñ maujoñ ko
apnī god meñ le kar
ravāñ hai be-qarārī se
magar kahtā nahīñ hai dard apnā
sadā in shoḳh maujoñ kā hamdam
hai in kā ham-qadam
in kā nigahbāñ
vo ḳhud Darā sahmā huā hai
samundar kā janam shāyad nahīñ hai
ki vo sairāb kar de tishnagāñ ko
hai is ke misl aurat kī fitrat
samundar aur aurat kī kahānī
hai ik jaisī zamāne meñ azal se
hazāroñ ġham ko pī letī hai aurat
magar shikva nahīñ kartī
isī liye to samundar aur aurat
nazar aate haiñ bilkul ek jaise
sitam sahtī hai vo zaryāb aksar
magar kahtī nahīñ kuchh bhī zabāñ se
hai yahī aurat kī ḳhaslat
yahī hai is kī azmat
samundar
pyas kaise bujhae
ki wo tishnagi ka dusra
lafz Thahra
isi liye samundar ne
kisi ki pyas ab tak
bujhane ka dawa nahin kiya hai
magar wo zat mein apni baDa hai
bahut pur-ab hai
par ye sach hai
haqiqat mein
wo be-mani bahut hai
ba-zahir be-karan maujon ko
apni god mein le kar
rawan hai be-qarari se
magar kahta nahin hai dard apna
sada in shoKH maujon ka hamdam
hai in ka ham-qadam
in ka nigahban
wo KHud Dara sahma hua hai
samundar ka janam shayad nahin hai
ki wo sairab kar de tishnagan ko
hai is ke misl aurat ki fitrat
samundar aur aurat ki kahani
hai ek jaisi zamane mein azal se
hazaron gham ko pi leti hai aurat
magar shikwa nahin karti
isi liye to samundar aur aurat
nazar aate hain bilkul ek jaise
sitam sahti hai wo zaryab aksar
magar kahti nahin kuchh bhi zaban se
hai yahi aurat ki KHaslat
yahi hai is ki azmat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.