aurat
tū havvā bhī hai mariyam bhī
tū hī siitā tū hī rādhā
ḳhadīja bhī hai tū
aur fātima bhī hai
tū hī raziya hai
laxmī-bā.ī bhī tū hai
hazāroñ ruup haiñ tere
hazāroñ kul meñ tū ne hī
kabhī autār janme haiñ
kabhī haadī kabhī rahbar zamāne ko diye tū ne
tire hī husn kā charchā zamīñ se āsmāñ tak hai
muhāfiz bhī hai aur jananī bhī hai
tahzīb kī
aḳhlāq kī
bhāshā kī
mamtā kī
tire fikr-o-amal kī kār-farmā.ī nirālī hai zamāne meñ
tū aurat hai magar kyā shaan vaalī hai zamāne meñ
tu hawwa bhi hai mariyam bhi
tu hi sita tu hi radha
KHadija bhi hai tu
aur fatima bhi hai
tu hi raziya hai
laxmi-bai bhi tu hai
hazaron rup hain tere
hazaron kul mein tu ne hi
kabhi autar janme hain
kabhi hadi kabhi rahbar zamane ko diye tu ne
tere hi husn ka charcha zamin se aasman tak hai
muhafiz bhi hai aur janani bhi hai
tahzib ki
aKHlaq ki
bhasha ki
mamta ki
tere fikr-o-amal ki kar-farmai nirali hai zamane mein
tu aurat hai magar kya shan wali hai zamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.