aurten nahin jaantin
dil kī dīvāroñ se
udāsī ko khurach kar
ek nazm meñ ikaTThā karnā
auratoñ kā pasandīda khel nahīñ
auratoñ ko vo khel pasand nahīñ
jin ke āḳhir meñ tāliyāñ na bajā.ī jā sakeñ
auratoñ ko pasand nahīñ
log jo apnā dil
TukḌe kar ke pheñk rahe hote haiñ
jo zindagī kī kitāb meñ
hāshiyoñ par darj hote haiñ
aur fōtnote se uupar jhāñkne kī
koshish karte rahte haiñ
jo kisī kāġhaz ke TukḌe par
tahrīr kar ke pheñk dete haiñ
maiñ tumhāre baġhair nahīñ rah saktā
nahīñ jāntī haiñ aurteñ
koī saada sī satar
kāġhaz par kitnī darashtī se likhī jā saktī hai
ārām se paḌh jaatī haiñ vo
nahīñ jāntī haiñ aurteñ
khurdure lafzoñ se kaaTī huī zindagī
tez aañch par rakhe hue dil
āñkhoñ meñ
bahut gahrā dekhtī huī āñkheñ
aur ek khel
dil kī dīvāroñ se
udāsī ko khurach kar
ek nazm meñ ikaTThā karne kā
dil ki diwaron se
udasi ko khurach kar
ek nazm mein ikaTTha karna
auraton ka pasandida khel nahin
auraton ko wo khel pasand nahin
jin ke aaKHir mein taliyan na bajai ja saken
auraton ko pasand nahin
log jo apna dil
TukDe kar ke phenk rahe hote hain
jo zindagi ki kitab mein
hashiyon par darj hote hain
aur footnote se upar jhankne ki
koshish karte rahte hain
jo kisi kaghaz ke TukDe par
tahrir kar ke phenk dete hain
main tumhaare baghair nahin rah sakta
nahin jaanti hain aurten
koi sada si satar
kaghaz par kitni darashti se likhi ja sakti hai
aaram se paDh jati hain wo
nahin jaanti hain aurten
khurdure lafzon se kaTi hui zindagi
tez aanch par rakhe hue dil
aankhon mein
bahut gahra dekhti hui aankhen
aur ek khel
dil ki diwaron se
udasi ko khurach kar
ek nazm mein ikaTTha karne ka
- Book : Mamnu'u Mausamon Ki Kitab (Pg. 86)
- Author : Syed Kashif Reza
- Publication : Scheherzade (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.