autograph
tumhāre naam ke nuqte ye ḳhūb-rū nuqte
banā.e haiñ jo tumhāre qalam ne kāġhaz par
hasīn ā.ankhoñ se
takte haiñ is tarah mujh ko
ki jaise dhund bhare ḳhvāb ke jazīre meñ
salonī sāñvlī yādoñ kā husn larzāñ ho
tumhārā naam hai
harf-o-sadā kī lahroñ meñ
ubhartī Dūbtī parchhā.iyoñ kā aks-e-jamīl
sulag ke jhāñk rahī haiñ pighalte manzar se
tumhāre naam ke nuqtoñ kī
dil-nashīñ āñkheñ
ki jaise mere taḳhayyul ke taaza chehre par
siyāh rañg ġhilāfoñ se jhuk ke
saaya kareñ
tumhārī gahrī dil-āvez sharmgīñ āñkheñ
tumhaare nam ke nuqte ye KHub-ru nuqte
banae hain jo tumhaare qalam ne kaghaz par
hasin aaankhon se
takte hain is tarah mujh ko
ki jaise dhund bhare KHwab ke jazire mein
saloni sanwli yaadon ka husn larzan ho
tumhaara nam hai
harf-o-sada ki lahron mein
ubharti Dubti parchhaiyon ka aks-e-jamil
sulag ke jhank rahi hain pighalte manzar se
tumhaare nam ke nuqton ki
dil-nashin aankhen
ki jaise mere taKHayyul ke taza chehre par
siyah rang ghilafon se jhuk ke
saya karen
tumhaari gahri dil-awez sharmgin aankhen
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 135)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.