awam
khaḌe ho aaj jis tahzīb ke ūñche manāre par
sajāyā hai use shāyad hameñ badnām logoñ ne
jidhar se chal ke tum pahuñche ho in zarrīñ manāzil tak
dikhā.ī hai tumheñ vo raah ham nākām logoñ ne
tumhārī bazm zehn-o-fikr kī ārā.isheñ kī haiñ
ham aise hī asīr-e-gul asīr-e-jām logoñ ne
tumhāre jāda-e-gul-rañg kī ye ahmarīñ sham.eñ
jalā.ī haiñ ham aise hī asīr-e-dām logoñ ne
kisī andāz se lekin tumheñ pahuñchā diyā hogā
na.ī duniyā na.e insāñ kā ye paiġhām logoñ ne
ki aksar apne hī taḳh.īl ke ḳhush-rañg phūloñ ko
masal kar pheñk Daalā hai ba-vaqt-e-shām logoñ ne
biThā kar ma.abad-e-zarrīñ meñ ḳhud nūrīñ ḳhudāoñ ko
kiyā hai kis tarah ḳhud hī unheñ nākām logoñ ne
hasīñ ta.abīr do yā tum hamāre ḳhvāb lauTā do
hamārī ma.arifat bhejā hai ye paiġhām logoñ ne
khaDe ho aaj jis tahzib ke unche manare par
sajaya hai use shayad hamein badnam logon ne
jidhar se chal ke tum pahunche ho in zarrin manazil tak
dikhai hai tumhein wo rah hum nakaam logon ne
tumhaari bazm zehn-o-fikr ki aaraishen ki hain
hum aise hi asir-e-gul asir-e-jam logon ne
tumhaare jada-e-gul-rang ki ye ahmarin shamen
jalai hain hum aise hi asir-e-dam logon ne
kisi andaz se lekin tumhein pahuncha diya hoga
nai duniya nae insan ka ye paigham logon ne
ki aksar apne hi taKHil ke KHush-rang phulon ko
masal kar phenk Dala hai ba-waqt-e-sham logon ne
biTha kar mabad-e-zarrin mein KHud nurin KHudaon ko
kiya hai kis tarah KHud hi unhen nakaam logon ne
hasin tabir do ya tum hamare KHwab lauTa do
hamari marifat bheja hai ye paigham logon ne
- Book : Intikhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.