awami subh
avāmī sub.h phir aa.ī
zamīñ ne kar liyā ruḳh apnā
phir sūraj ke us nuqte kī jānib
jahāñ yārān-e-ham-majlis ne ummīdoñ kī kirnoñ kā
suhānā ruup dekhā thā
ka.ī sadiyoñ kī zulmat kī tahoñ se
kuñvārī dhuup kā ghuñghaT uThāyā thā
qafas kī khapchiyoñ par leT kar āzād āñkhoñ se
ka.ī sapne bune the
jahāñ se ik na.e ehsās kā haalā milā thā
na.ī sochoñ kā darvāza khulā thā
vahī ham the
ki apne hākimoñ ke vāste marte chale the
vahī ham the
ki jin par zindagī karne kā uqda khul chukā thā
avāmī sub.h phir aa.ī
barābar aa rahī hai
zamīñ har saal is din kā
i.aada kar rahī hai
magar sūraj kā vo nuqta
jo is din kā muharrik thā
na jaane kyoñ
mujhe kuchh ajnabī sā lag rahā hai
awami subh phir aai
zamin ne kar liya ruKH apna
phir suraj ke us nuqte ki jaanib
jahan yaran-e-ham-majlis ne ummidon ki kirnon ka
suhana rup dekha tha
kai sadiyon ki zulmat ki tahon se
kunwari dhup ka ghunghaT uThaya tha
qafas ki khapchiyon par leT kar aazad aankhon se
kai sapne bune the
jahan se ek nae ehsas ka haala mila tha
nai sochon ka darwaza khula tha
wahi hum the
ki apne hakimon ke waste marte chale the
wahi hum the
ki jin par zindagi karne ka uqda khul chuka tha
awami subh phir aai
barabar aa rahi hai
zamin har sal is din ka
iada kar rahi hai
magar suraj ka wo nuqta
jo is din ka muharrik tha
na jaane kyon
mujhe kuchh ajnabi sa lag raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.