ayaz chup hai
ayaaz chup hai
sadā-e-mahmūd harb-e-tāza kī tez-tar rau meñ
bah ga.ī hai
ayaaz chup hai
ayaaz chup hai ki ab asīrān-e-shab bhī
ḳhvābīda aks le kar
thakī thakī ḳhvāhishoñ ke sīnoñ pe so ga.e haiñ
vo din ki jis din
jale hue tāqchoñ pe harfoñ kī be-kafan laash
dafn hogī
vo din calender kī sabz tah se sarak gayā hai
ayaaz chup hai
luTī huī bastiyoñ meñ tārīḳh kā paḌāv
safoñ meñ tartīb DhūñDhtā hai
lahū kī hiddat meñ munqasim sub.h kam-nasībāñ kā garm sūraj
hazār-hā girheñ kholtā hai
to shahr-e-kohsār ke jilau meñ qadīm shāhrāh pūchhtī hai
ayaaz chup hai ki boltā hai
ayaaz chup hai
sadā-e-mahmūd harb-e-tāza kī tez-tar rau meñ bah ga.ī hai
ayaz chup hai
sada-e-mahmud harb-e-taza ki tez-tar rau mein
bah gai hai
ayaz chup hai
ayaz chup hai ki ab asiran-e-shab bhi
KHwabida aks le kar
thaki thaki KHwahishon ke sinon pe so gae hain
wo din ki jis din
jale hue taqchon pe harfon ki be-kafan lash
dafn hogi
wo din calender ki sabz tah se sarak gaya hai
ayaz chup hai
luTi hui bastiyon mein tariKH ka paDaw
safon mein tartib DhunDhta hai
lahu ki hiddat mein munqasim subh kam-nasiban ka garm suraj
hazar-ha girhen kholta hai
to shahr-e-kohsar ke jilau mein qadim shahrah puchhti hai
ayaz chup hai ki bolta hai
ayaz chup hai
sada-e-mahmud harb-e-taza ki tez-tar rau mein bah gai hai
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 162)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.