azab
mujhe shak kī nazroñ se kyuuñ dekhte ho
mirī baat sach hai
mirī baat sach hai maiñ kal raat nāgoñ se laḌtā rahā huuñ
kanhaiyā nahīñ maiñ jo nāgoñ ko nath luuñ
maiñ aisā baḌā koī insān kab huuñ
jo harf-e-shikāyat bhī lab par na laa.e
na jo ye kahe
maiñ to bas baaz aayā
vo gorīla faujeñ haiñ yā naag kaale
nikalte hī din ke vo jaate kahāñ haiñ
ye kis ko ḳhabar din meñ rahte kahāñ haiñ
lipaTte haiñ rātoñ ko is tarah mujh se
amarbel peḌoñ kī shāḳhoñ se jaise
vo rah rah ke shāḳhoñ se jaise
vo rah rah ke phunkārnā un kā tauba
ki ḳhud-kār bandūq kī goliyāñ huuñ
maiñ un se nikal bhāgnā chāhtā huuñ
mirā jism zindāñ hai bebas huuñ is meñ
koī dev qad beḌiyoñ meñ ho jaise
mirī baat sach hai
mirī baat sach hai nahīñ hai kisī jañg kā ye fasāna
haqīqat hai ye us ko dhokā na samjho
havā pichhlī rātoñ meñ kyā kuchh na pūchho
nigaltā hai jab bhī añdhere kā ajgar
makīnoñ makānoñ ko dīvār-o-dar ko
nigaltā hai ifrīt jab ḳhāmushī kā
sadāoñ kā jañgal navāoñ kī nagrī
vo aise meñ aate haiñ jaane kahāñ se
achānak maiñ ghabrā ke uTh baiThtā huuñ
kisāñ ḳhvāb meñ dekh kar aag jaise
sar-e-kisht ghabrā ke uTh baiThtā hai
jo haiñ silvaTeñ mere bistar meñ sad.hā
vo sāñpoñ ke andāz meñ reñgtī haiñ
mirī sej sāñpoñ kā maskan banī hai
mujhe shak ki nazron se kyun dekhte ho
meri baat sach hai
meri baat sach hai main kal raat nagon se laDta raha hun
kanhaiya nahin main jo nagon ko nath lun
main aisa baDa koi insan kab hun
jo harf-e-shikayat bhi lab par na lae
na jo ye kahe
main to bas baz aaya
wo gorila faujen hain ya nag kale
nikalte hi din ke wo jate kahan hain
ye kis ko KHabar din mein rahte kahan hain
lipaTte hain raaton ko is tarah mujh se
amarbel peDon ki shaKHon se jaise
wo rah rah ke shaKHon se jaise
wo rah rah ke phunkarna un ka tauba
ki KHud-kar banduq ki goliyan hun
main un se nikal bhagna chahta hun
mera jism zindan hai bebas hun is mein
koi dew qad beDiyon mein ho jaise
meri baat sach hai
meri baat sach hai nahin hai kisi jang ka ye fasana
haqiqat hai ye us ko dhoka na samjho
hawa pichhli raaton mein kya kuchh na puchho
nigalta hai jab bhi andhere ka ajgar
makinon makanon ko diwar-o-dar ko
nigalta hai ifrit jab KHamushi ka
sadaon ka jangal nawaon ki nagri
wo aise mein aate hain jaane kahan se
achanak main ghabra ke uTh baiThta hun
kisan KHwab mein dekh kar aag jaise
sar-e-kisht ghabra ke uTh baiThta hai
jo hain silwaTen mere bistar mein sadha
wo sanpon ke andaz mein rengti hain
meri sej sanpon ka maskan bani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.