azal ke musawwir se
banā banā ke tū kartā hai kyoñ fanā ham ko
ilāhī kaisā musavvir hai tū batā ham ko
huā thā ādam-o-havvā se ik gunāh kabhī
us ik gunāh kī ab tak na de sazā ham ko
khilaunā jaan ke hī ham se khelnā thā agar
to jism kaafī thā dil kyoñ kiyā ‘atā ham ko
hile na terī razā ke baġhair jab pattā
to hashr kaisā mile kyoñ sazā-jazā ham ko
yā kar ‘atā vo nigāheñ jo dekh paa.eñ tujhe
yā aa ke sāmne jalva kabhī dikhā ham ko
bana bana ke tu karta hai kyon fana hum ko
ilahi kaisa musawwir hai tu bata hum ko
hua tha aadam-o-hawwa se ek gunah kabhi
us ek gunah ki ab tak na de saza hum ko
khilauna jaan ke hi hum se khelna tha agar
to jism kafi tha dil kyon kiya ‘ata hum ko
hile na teri raza ke baghair jab patta
to hashr kaisa mile kyon saza-jaza hum ko
ya kar ‘ata wo nigahen jo dekh paen tujhe
ya aa ke samne jalwa kabhi dikha hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.