azim sach
mire ḳhudāyā
bichhaḌ na jaa.e
jo mujh se ab tak milā nahīñ hai
vo merī rātoñ kā rat-jagā bhī
hai mere ḳhvāboñ kī chāñdnī bhī
maiñ us ko dekhūñ
to sub.h nikhre
maiñ us ko sochūñ
to shaam mahke
vo mere āñgan meñ paañv rakkhe
to kahkashāñ āsmāñ se utre
mire ḳhayāloñ se us kā rishta
tamām rishtoñ kī
saarī sachchā.iyoñ se bartar
aTuuT an-miT aziim rishta
mirī duā hai
vo shaḳhs
is shahr-e-ārzū se
jo ab ke jaa.e
aziim sach us ke saath jaa.e
mere KHudaya
bichhaD na jae
jo mujh se ab tak mila nahin hai
wo meri raaton ka rat-jaga bhi
hai mere KHwabon ki chandni bhi
main us ko dekhun
to subh nikhre
main us ko sochun
to sham mahke
wo mere aangan mein panw rakkhe
to kahkashan aasman se utre
mere KHayalon se us ka rishta
tamam rishton ki
sari sachchaiyon se bartar
aTuT an-miT azim rishta
meri dua hai
wo shaKHs
is shahr-e-arzu se
jo ab ke jae
azim sach us ke sath jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.