azm
ba-vaqt-e-asr azaañ gūñjtī hai sahrā meñ
namāz ḳhud hī musallā bichhāne aa.ī hai
baḌā ajiib thā manzar
ajiib raat thī vo
havā.eñ sahmī huī thiiñ charāġh chup chup the
har ek samt vahī be-karāñ sī ḳhāmoshī
fazā udaas
vahī nīm-jāñ sī ḳhāmoshī
sukūt-e-shab meñ bhī aahaT thī inqilāboñ kī
sajī thī bazm vahāñ āsmāñ-janāboñ kī
bahut sī bāteñ thiiñ aur koī baat thī hī nahīñ
phir us ke ba.ad koī raat
raat thī hī nahīñ
vo raat jab bhī kabhī yaad aane lagtī hai
to raushnī hameñ rasta dikhāne lagtī hai
us ek shab meñ murattab huā nisāb-e-vafā
likhī ga.ī thī usī raat meñ kitāb-e-vafā
us ek raat ko tahrīr koī kaise kare
ḳhayāl-o-fikr ko zanjīr koī kaise kare
lahū ke ḳhvāb kī ta.abīr koī kaise kare
safar thā kaisā vo kaisī masāfat-e-shab thī
koī batā.e to
kaisī vo sā.at-e-shab thī
mutālibāt-e-sharī.at bahut ziyāda the
aur us ke paas faqat ek shab kī mohlat thī
us ek shab meñ use kitne kaam karne the
use sikhānā thā insāñ ko bandagī kā shu.ūr
tilāvatoñ kā qarīna suḳhanvarī kā shu.ūr
vo ek raat thī aisī
ki qadr-o-isrā ne
nazar jo apnī jamā.ī to phir haTā.ī nahīñ
vo regzār ke siine pe nasb ik ḳhema
lahū se sabr kī tārīḳh likhne vaalā thā
bujhā bujhā sā khaḌā thā vo pāsbān-e-charāġh
magar darūn meñ is ke bahut ujālā thā
vo jāntā thā vafādār haiñ sabhī nāsir
vo sar kaTā.eñge lekin na saath chhoḌeñge
charāg-e-ḳhema bujhāne kā ye na thā maqsad
ki us ko yāvar-e-ansār ko parakhnā thā
vo raushnī meñ unheñ laanā chāhtā thā faqat
samajh rahā thā vo qudrat ke har ishāre ko
sadā.eñ detī rahī us ko daulat-e-duniyā
kahāñ vo sabr kahāñ jabr-o-shaukat-e-duniyā
magar vo ek sadā
āsmāñ se aatī huī
batā rahī thī
ki kyā āsmān chāhtā hai
ḳhudā-e-pāk koī imtihān chāhtā hai
isī liye koī sahrā kī samt baḌhtā rahā
lahū lahū kisī dariyā kī samt baḌhtā rahā
vo raushnī kī alāmat
vo bāniyān-e-charāġh
samajh rahā thā bujhegā ye ḳhāndān-e-charāġh
ajiib log the vo ḳhāndān-e-nūr ke log
the sab ke ek se lahje
kalām yaksāñ the
ḳhilāf-e-zulm sabhī ke payām yaksāñ the
bahut hī ġhaur se har chehra paḌh rahe the husain
ki aane vaalā har ik lamha paḌh rahe the husain
vo ek raat bhī dekho guzar hī jaatī hai
savere ma.arka hotā hai haqq-o-bātil meñ
ajiib josh hai jazba hai jāñ-nisāroñ meñ
vaqār-e-tishna-labī ko gale lagā.e hue
guzar rahā hai qabīla lahū ke dariyā se
ba-vaqt-e-asr azaañ gūñjtī hai sahrā meñ
namāz ḳhud hī musallā bichhāne aa.ī hai
sar-e-husain adā kar rahā hai sajda-e-shukr
gulū-e-ḳhushk pe ḳhanjar kī dhaar chaltī hai
paḌhā thā jis ne kabhī
kullu man alaihā faan
lahū se us ne likhā
lā-ilāha il-lallāh
ba-waqt-e-asr azan gunjti hai sahra mein
namaz KHud hi musalla bichhane aai hai
baDa ajib tha manzar
ajib raat thi wo
hawaen sahmi hui thin charagh chup chup the
har ek samt wahi be-karan si KHamoshi
faza udas
wahi nim-jaan si KHamoshi
sukut-e-shab mein bhi aahaT thi inqilabon ki
saji thi bazm wahan aasman-janabon ki
bahut si baaten thin aur koi baat thi hi nahin
phir us ke baad koi raat
raat thi hi nahin
wo raat jab bhi kabhi yaad aane lagti hai
to raushni hamein rasta dikhane lagti hai
us ek shab mein murattab hua nisab-e-wafa
likhi gai thi usi raat mein kitab-e-wafa
us ek raat ko tahrir koi kaise kare
KHayal-o-fikr ko zanjir koi kaise kare
lahu ke KHwab ki tabir koi kaise kare
safar tha kaisa wo kaisi masafat-e-shab thi
koi batae to
kaisi wo saat-e-shab thi
mutalibaat-e-shariat bahut ziyaada the
aur us ke pas faqat ek shab ki mohlat thi
us ek shab mein use kitne kaam karne the
use sikhana tha insan ko bandagi ka shuur
tilawaton ka qarina suKHanwari ka shuur
wo ek raat thi aisi
ki qadr-o-isra ne
nazar jo apni jamai to phir haTai nahin
wo regzar ke sine pe nasb ek KHema
lahu se sabr ki tariKH likhne wala tha
bujha bujha sa khaDa tha wo pasban-e-charagh
magar darun mein is ke bahut ujala tha
wo jaanta tha wafadar hain sabhi nasir
wo sar kaTaenge lekin na sath chhoDenge
charag-e-KHema bujhane ka ye na tha maqsad
ki us ko yawar-e-ansar ko parakhna tha
wo raushni mein unhen lana chahta tha faqat
samajh raha tha wo qudrat ke har ishaare ko
sadaen deti rahi us ko daulat-e-duniya
kahan wo sabr kahan jabr-o-shaukat-e-duniya
magar wo ek sada
aasman se aati hui
bata rahi thi
ki kya aasman chahta hai
KHuda-e-pak koi imtihan chahta hai
isi liye koi sahra ki samt baDhta raha
lahu lahu kisi dariya ki samt baDhta raha
wo raushni ki alamat
wo baniyan-e-charagh
samajh raha tha bujhega ye KHandan-e-charagh
ajib log the wo KHandan-e-nur ke log
the sab ke ek se lahje
kalam yaksan the
KHilaf-e-zulm sabhi ke payam yaksan the
bahut hi ghaur se har chehra paDh rahe the husain
ki aane wala har ek lamha paDh rahe the husain
wo ek raat bhi dekho guzar hi jati hai
sawere marka hota hai haqq-o-baatil mein
ajib josh hai jazba hai jaan-nisaron mein
waqar-e-tishna-labi ko gale lagae hue
guzar raha hai qabila lahu ke dariya se
ba-waqt-e-asr azan gunjti hai sahra mein
namaz KHud hi musalla bichhane aai hai
sar-e-husain ada kar raha hai sajda-e-shukr
gulu-e-KHushk pe KHanjar ki dhaar chalti hai
paDha tha jis ne kabhi
kullu man alaiha fan
lahu se us ne likha
la-ilaha il-lallah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.