azm
ye go-dhūl belā
fazā jaise ghar lauTtī gaay bhaiñsoñ kā revaḌ
bahut nīm-jāñ
ye sarsabz shāḳheñ jo din bhar kisī phuul kā taaj pahne hue
raqs kartī rahīñ thak chukī haiñ
abhī jaise sargoshiyāñ kar rahī haiñ
siyāhī kā chaḌhtā samundar agar shab ga.e tak na utrā to kyā hai
mirī god meñ ġhuncha-e-gul hañsegā
udhar pau phaTegī
ye go-dhul bela
faza jaise ghar lauTti gay bhainson ka rewaD
bahut nim-jaan
ye sarsabz shaKHen jo din bhar kisi phul ka taj pahne hue
raqs karti rahin thak chuki hain
abhi jaise sargoshiyan kar rahi hain
siyahi ka chaDhta samundar agar shab gae tak na utra to kya hai
meri god mein ghuncha-e-gul hansega
udhar pau phaTegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.