azmat-e-adam
ham tumheñ qatl hī kar deñge magar aaj kī raat
mat kaho beTī bahū aur bahan
tum to ho ek hasīñ mashġhala-e-aish-o-nishāt
aaj tak dekhī na thī jis kī jhalak
gorā gorā sā bharā jism gudāz
jis ne armānoñ meñ ik aag lagā rakkhī hai
siskiyāñ band karo aur bilaknā chhoḌo
apne vāvailā se ab aur munaġhġhis na karo
chhoḌ do apne azīzoñ kā ḳhayāl
jin meñ nāmūs pe kaT marne kī himmat hī na thī
bhaag nikle haiñ jo jiine kī tamannā le kar
bhuul jaao ki kabhī un se bhī nisbat thī tumheñ
sūrmāoñ se milo un kī ye azmat samjho
mahfil-e-aish ko haañ aur munaġhġhaz na karo
ye navāzish nahīñ kuchh kam ki chunā hai ham ne
tumheñ is mahfil-e-ishrat ko sajāne ke liye
do ghaḌī rañg jamāne ke liye
poñchh lo aañsū phirā lo āñkheñ
laash bachche kī nahīñ ye to hai zillat kā nishāñ
kaise insānoñ se nisbat thī tumheñ
ham ne to rahm se ḳhāmosh kiyā hai us ko
varna ham ye bhī to kar sakte the
haath aur pair qalam kar ke use taḌpāte
ek ik boTī uḌāte tumheñ dukh pahuñchāte
tum to ḳhush-baḳht ho aayā nahīñ yuuñ taish hameñ
ye to manzūr thā ḳhalal-e-aish hameñ
jaam par jaam uThātī huī do saath abhī
chhoḌ do ab ye taḌap aur phaḌak
is tarah rukte bhī haiñ baḌhte hue haath kabhī
aaj kī raat faqat aaj kī raat
ek pal kā bhī ta.ammul hameñ manzūr nahīñ
varna kuchh duur nahīñ
apnī sañgat ke liye paas bulā leñ tum ko
sāmne chhat se jo laTkī haiñ tumhārī bahneñ
chhātiyāñ jin kī haiñ pairoñ meñ paḌī
aur jismoñ meñ khube haiñ bhāle
apne baḌhte hue hāthoñ ke jhaTakne kī sazā
ye dahakte hue bhāle bhī haiñ añgāre bhī
aur rassī kī jagah ye haiñ tumhārī zulfeñ
aaj kī raat magar aaj raat
ek pal kā bhī ta.ammul hameñ manzūr nahīñ
muskurāo baḌho aur jaam uThāo
shām-e-ġham kaisī hai ab sub.h-e-masarrat ban jaao
ham tumheñ qatl hī kar deñge tumhārī ḳhātir
taaki nāmard zalīl aur kamīne vo aziiz
bhaag nikle haiñ jo jiine kī tamannā le kar
dekh paa.eñ to na ye kah ke tumheñ sharmā.eñ
apne haañ beTī bahū koī na thī koī na thī
haañ jo is naam kī laḌkī thī vo mar khap bhī ga.ī
aur tumhāre vo aziiz
in kī izzat bhī rahe aan bhī baaqī rah jaa.e
jin ke hisse meñ na ġhairat hai na maut
ham tumheñ qatl hī kar deñge magar aaj kī raat
hum tumhein qatl hi kar denge magar aaj ki raat
mat kaho beTi bahu aur bahan
tum to ho ek hasin mashghala-e-aish-o-nishat
aaj tak dekhi na thi jis ki jhalak
gora gora sa bhara jism gudaz
jis ne armanon mein ek aag laga rakkhi hai
siskiyan band karo aur bilakna chhoDo
apne wawaila se ab aur munaghghis na karo
chhoD do apne azizon ka KHayal
jin mein namus pe kaT marne ki himmat hi na thi
bhag nikle hain jo jine ki tamanna le kar
bhul jao ki kabhi un se bhi nisbat thi tumhein
surmaon se milo un ki ye azmat samjho
mahfil-e-aish ko han aur munaghghaz na karo
ye nawazish nahin kuchh kam ki chuna hai hum ne
tumhein is mahfil-e-ishrat ko sajaane ke liye
do ghaDi rang jamane ke liye
ponchh lo aansu phira lo aankhen
lash bachche ki nahin ye to hai zillat ka nishan
kaise insanon se nisbat thi tumhein
hum ne to rahm se KHamosh kiya hai us ko
warna hum ye bhi to kar sakte the
hath aur pair qalam kar ke use taDpate
ek ek boTi uDate tumhein dukh pahunchate
tum to KHush-baKHt ho aaya nahin yun taish hamein
ye to manzur tha KHalal-e-aish hamein
jam par jam uThati hui do sath abhi
chhoD do ab ye taDap aur phaDak
is tarah rukte bhi hain baDhte hue hath kabhi
aaj ki raat faqat aaj ki raat
ek pal ka bhi tammul hamein manzur nahin
warna kuchh dur nahin
apni sangat ke liye pas bula len tum ko
samne chhat se jo laTki hain tumhaari bahnen
chhatiyan jin ki hain pairon mein paDi
aur jismon mein khube hain bhaale
apne baDhte hue hathon ke jhaTakne ki saza
ye dahakte hue bhaale bhi hain angare bhi
aur rassi ki jagah ye hain tumhaari zulfen
aaj ki raat magar aaj raat
ek pal ka bhi tammul hamein manzur nahin
muskurao baDho aur jam uThao
sham-e-gham kaisi hai ab subh-e-masarrat ban jao
hum tumhein qatl hi kar denge tumhaari KHatir
taki namard zalil aur kamine wo aziz
bhag nikle hain jo jine ki tamanna le kar
dekh paen to na ye kah ke tumhein sharmaen
apne han beTi bahu koi na thi koi na thi
han jo is nam ki laDki thi wo mar khap bhi gai
aur tumhaare wo aziz
in ki izzat bhi rahe aan bhi baqi rah jae
jin ke hisse mein na ghairat hai na maut
hum tumhein qatl hi kar denge magar aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.