azmaten
'azmateñ
apne sīnoñ pe
katboñ ke tamġhe lagā.e
baḌī der tak
merī hairat pe hañstī rahīñ
jaane kitnī futūhāt kī dāstāñ
pattharoñ kī zabānī
sunātī rahīñ
gungunātī rahīñ
jaane kitne shab-o-roz ke
rang sad-rang naġhme
dikhātī rahīñ
dhund meñ jab koī qāfila
aa ke Thahrā
nikaltī rahī saf-ba-saf
aatī jaatī rahī
lashkaroñ kī kumak
vo chamak chamak
chīḳh lalkār chhankār
āh-o-bukā
ḳhuun kī nadiyāñ
'azmateñ dhund meñ
sab dikhātī rahīñ
muskurātī rahīñ
gungunātī rahīñ
'azmateñ merī katboñ kī tahrīr
paḌhne kī lā-hāsilī dekh kar
'azmateñ ro paḌīñ
'azmateñ ro paḌīñ
'azmaten
apne sinon pe
katbon ke tamghe lagae
baDi der tak
meri hairat pe hansti rahin
jaane kitni futuhat ki dastan
pattharon ki zabani
sunati rahin
gungunati rahin
jaane kitne shab-o-roz ke
rang sad-rang naghme
dikhati rahin
dhund mein jab koi qafila
aa ke Thahra
nikalti rahi saf-ba-saf
aati jati rahi
lashkaron ki kumak
wo chamak chamak
chiKH lalkar chhankar
aah-o-buka
KHun ki nadiyan
'azmaten dhund mein
sab dikhati rahin
muskuraati rahin
gungunati rahin
'azmaten meri katbon ki tahrir
paDhne ki la-hasili dekh kar
'azmaten ro paDin
'azmaten ro paDin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.