b amman se KHitab
ai ki terī zaat thī sarmāya-e-ilm-o-amal
ai ki terā har irāda thā nihāyat hī aTal
ai ki tū ik jauhar-e-teġh-e-dil-e-islām thī
terī hastī yādgār-e-raunaq-e-ayyām thī
tere siine meñ bharā thā bahr-e-islāmī kā josh
tere a.azā meñ ravāñ thā ek dariyā-e-ḳharosh
terī rag rag meñ vafūr-e-joshish-e-sailāb thā
terā har jazba ziyā-e-gauhar-e-nāyāb thā
terī hastī sham.a-e-himmat ke liye ā.īna thī
zindagī terī charāġh-e-millat-e-derīna thī
tū ne murda zindagī meñ ruuh taaza phūñk dī
himmat-e-majbūr ko baḳhshī hai tū ne zindagī
ek shuā-e-nayyar-e-āsūda-e-rif.at thī tū
is ḳhizān-e-zīst meñ ik mādar-e-millat thī tū
tū ne ramz-e-qalb-e-maḳhfī āshkārā kar diye
ma.anī-e-ilm-o-amal parda se be-parda kiye
mudda.ā-e-dil tirā ik gauhar-e-ummīd hai
jo fazā-e-tār meñ ik sho.ala-e-ḳhurshīd hai
terā har lamha munavvar har ghaḌī nayyar-ba-dosh
zindagī terī rahe misl-e-charāġh-e-zau-farosh
zulmat-e-millat meñ chamkā.e munavvar āftāb
gulshan-e-ummīd meñ mahkā diye rangīñ gulāb
imtihān-e-zīst meñ tū kis qadar hī kāmyāb
har varaq terī kitāb-e-umr kā hai ḳhud kitāb
aa sukūt-e-yās meñ mujh ko banā le rāz-dār
aa rah-e-ummīd meñ mujh ko banā le kāmgār
aa mire kānoñ meñ bhī vo rūh-e-pinhāñ phūñk de
zindagī merī bhī ik maazī kā ā.īna bane
aa 'jamāl'-e-zār ko bhī rāzdār-e-dil banā
zindagī is kī bhī ik barq-e-dil-e-bismil banā
ai ki teri zat thi sarmaya-e-ilm-o-amal
ai ki tera har irada tha nihayat hi aTal
ai ki tu ek jauhar-e-tegh-e-dil-e-islam thi
teri hasti yaadgar-e-raunaq-e-ayyam thi
tere sine mein bhara tha bahr-e-islami ka josh
tere aaza mein rawan tha ek dariya-e-KHarosh
teri rag rag mein wafur-e-joshish-e-sailab tha
tera har jazba ziya-e-gauhar-e-nayab tha
teri hasti shama-e-himmat ke liye aaina thi
zindagi teri charagh-e-millat-e-derina thi
tu ne murda zindagi mein ruh taza phunk di
himmat-e-majbur ko baKHshi hai tu ne zindagi
ek shua-e-nayyar-e-asuda-e-rifat thi tu
is KHizan-e-zist mein ek madar-e-millat thi tu
tu ne ramz-e-qalb-e-maKHfi aashkara kar diye
mani-e-ilm-o-amal parda se be-parda kiye
muddaa-e-dil tera ek gauhar-e-ummid hai
jo faza-e-tar mein ek shoala-e-KHurshid hai
tera har lamha munawwar har ghaDi nayyar-ba-dosh
zindagi teri rahe misl-e-charagh-e-zau-farosh
zulmat-e-millat mein chamkae munawwar aaftab
gulshan-e-ummid mein mahka diye rangin gulab
imtihan-e-zist mein tu kis qadar hi kaamyab
har waraq teri kitab-e-umr ka hai KHud kitab
aa sukut-e-yas mein mujh ko bana le raaz-dar
aa rah-e-ummid mein mujh ko bana le kaamgar
aa mere kanon mein bhi wo ruh-e-pinhan phunk de
zindagi meri bhi ek mazi ka aaina bane
aa 'jamal'-e-zar ko bhi raazdar-e-dil bana
zindagi is ki bhi ek barq-e-dil-e-bismil bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.