ganga ro rahi thi
mujhe ma.alūm hai
tum ne mujhe bachpan se paalā thā
bahut rātoñ ko tum jaage the
aur tum ne mirī āñkhoñ meñ apne ḳhvāb rakhe the
kabhī jātak kathā.eñ dāstāneñ
aur kabhī tārīḳh ke qisse sunā.e the
mujhe harfoñ ko jab pahchānñā aayā thā
tum ne sab sahīfe aur vo saarī kitābeñ
jo tumhārā zindagī-bhar kā asāsa thiiñ
mujhe paḌhne ko dī thiiñ
aur vo tum the mujhe chāroñ dishāoñ meñ
safar karnā sikhāyā
maiñ kabhī kāshī kabhī mathurā
kabhī makke madīne ghūmtā rahtā
kabhī baġhdād istanbul pahuñchā
aur kabhī maiñ ne samarqand-o-buḳhārā meñ qadam rakkhā
kabhī maiñ isfahāñ aur najd-o-kūfe meñ phirā
jab muddatoñ ke ba.ad vāpas lauT kar aayā to
gautam jā chuke the
raam ayodhya meñ nahīñ the
tum kisī ik qabr meñ so.e hue the
aur mere saath
gañgā ro rahī thī
mujhe malum hai
tum ne mujhe bachpan se pala tha
bahut raaton ko tum jage the
aur tum ne meri aankhon mein apne KHwab rakhe the
kabhi jatak kathaen dastanen
aur kabhi tariKH ke qisse sunae the
mujhe harfon ko jab pahchanna aaya tha
tum ne sab sahife aur wo sari kitaben
jo tumhaara zindagi-bhar ka asasa thin
mujhe paDhne ko di thin
aur wo tum the mujhe chaaron dishaon mein
safar karna sikhaya
main kabhi kashi kabhi mathura
kabhi makke madine ghumta rahta
kabhi baghdad istanbul pahuncha
aur kabhi main ne samarqand-o-buKHara mein qadam rakkha
kabhi main isfahan aur najd-o-kufe mein phira
jab muddaton ke baad wapas lauT kar aaya to
gautam ja chuke the
ram ayodhya mein nahin the
tum kisi ek qabr mein soe hue the
aur mere sath
ganga ro rahi thi
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 135)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.