ba-shart-e-ustuwari
ḳhūn-e-jamhūr meñ bhīge hue parcham le kar
mujh se afrād kī shāhī ne vafā māñgī hai
sub.h ke nuur pe ta.azīr lagāne ke liye
shab kī sañgīn siyāhī ne vafā māñgī hai
aur ye chāhā hai ki maiñ qāfila-e-ādam ko
Tokne vaalī nigāhoñ kā madad-gār banūñ
jis tasavvur se charāġhāñ hai sar-e-jāda-e-zīst
us tasavvur kī hazīmat kā gunahgār banūñ
zulm parvarda qavānīn ke aivānoñ se
beḌiyāñ taktī haiñ zanjīr sadā detī hai
tāq-e-tādīb se insāf ke but ghūrte haiñ
masnad-e-adl se shamshīr sadā detī hai
lekin ai azmat-e-insāñ ke sunahre ḳhvābo
maiñ kisī taaj kī satvat kā parastār nahīñ
mere afkār kā unvān-e-irādat tum ho
maiñ tumhārā huuñ luTeroñ kā vafādār nahīñ
KHun-e-jamhur mein bhige hue parcham le kar
mujh se afrad ki shahi ne wafa mangi hai
subh ke nur pe tazir lagane ke liye
shab ki sangin siyahi ne wafa mangi hai
aur ye chaha hai ki main qafila-e-adam ko
Tokne wali nigahon ka madad-gar banun
jis tasawwur se charaghan hai sar-e-jada-e-zist
us tasawwur ki hazimat ka gunahgar banun
zulm parwarda qawanin ke aiwanon se
beDiyan takti hain zanjir sada deti hai
taq-e-tadib se insaf ke but ghurte hain
masnad-e-adl se shamshir sada deti hai
lekin ai azmat-e-insan ke sunahre KHwabo
main kisi taj ki satwat ka parastar nahin
mere afkar ka unwan-e-iradat tum ho
main tumhaara hun luTeron ka wafadar nahin
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 142)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.