ba-izzat tariqe se jine ke jatan
guzashta all-parties-conference meñ
tai huā thā
ki shahr bhar kī tārīkī
aañkh ke bosīda piyāloñ meñ uñDel kar
sub.h, dopahar, shaam bā-qā.edgī se istimāl kī jaa.e
to añdheroñ meñ jūtiyāñ TaTolnā
sahal ho jā.egā
kaun nañge paañv mahal kī taraf jaa.e
ki rāste meñ uchakkoñ ke ḳhauf se
kāñch kī zamīn bichhā dī ga.ī hai
hamāre ehtajājī banners zor-dār havā chalne ke baa.is
hamāre saroñ pe ulaT paḌe
aur ubhre hue gūmḌoñ ko tārīkī ne chhupā liyā
is ke bāvajūd hamārī āñkheñ
añdhere meñ dekh saktī haiñ
dekh saktī haiñ ki daa.eñ baa.eñ rahne vāloñ ne
āñkhoñ ko badan meñ ġhair-zarūrī samjhā
aur mahal vāloñ ko atiyya kar diiñ
agar is baras bairūnī gāhakoñ kī āmad-o-raft
mahdūd rahī to ain mumkin hai
hamārī jūtiyāñ hamāre saroñ se utaar kar
pairoñ meñ pahnā dī jaa.eñ
guzashta all-parties-conference mein
tai hua tha
ki shahr bhar ki tariki
aankh ke bosida piyalon mein unDel kar
subh, dopahar, sham ba-qaedgi se istimal ki jae
to andheron mein jutiyan TaTolna
sahal ho jaega
kaun nange panw mahal ki taraf jae
ki raste mein uchakkon ke KHauf se
kanch ki zamin bichha di gai hai
hamare ehtajaji banners zor-dar hawa chalne ke bais
hamare saron pe ulaT paDe
aur ubhre hue gumDon ko tariki ne chhupa liya
is ke bawajud hamari aankhen
andhere mein dekh sakti hain
dekh sakti hain ki daen baen rahne walon ne
aankhon ko badan mein ghair-zaruri samjha
aur mahal walon ko atiyya kar din
agar is baras bairuni gahakon ki aamad-o-raft
mahdud rahi to ain mumkin hai
hamari jutiyan hamare saron se utar kar
pairon mein pahna di jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.