ba-KHabar laDkiyan
kabhī laḌkiyoñ ke tanomand jismoñ meñ
sūraj kī tābāniyāñ dekhne ko
makānoñ kī chhat par khaḌe ho ke yaaro
jo ham nange paañv ke talve jalāte
to apne badan kī harārat se saarī naseñ phaḌphaḌātīñ
magar laḌkiyoñ ko ḳhabar tak na hotī
agar ab makānoñ kī ūñchī chhatoñ par
khaḌe ho ke tum ne
tanomand jismoñ meñ sūraj kī tābāniyāñ dekhnī hoñ
to talve jalāne se behtar yahī hai
ki kuchh gungunāo
tumhāre badan kī naseñ sard karne ko
sab laḌkiyāñ bā-ḳhabar ho chukī haiñ
kabhi laDkiyon ke tanomand jismon mein
suraj ki tabaniyan dekhne ko
makanon ki chhat par khaDe ho ke yaro
jo hum nange panw ke talwe jalate
to apne badan ki hararat se sari nasen phaDphaDatin
magar laDkiyon ko KHabar tak na hoti
agar ab makanon ki unchi chhaton par
khaDe ho ke tum ne
tanomand jismon mein suraj ki tabaniyan dekhni hon
to talwe jalane se behtar yahi hai
ki kuchh gungunao
tumhaare badan ki nasen sard karne ko
sab laDkiyan ba-KHabar ho chuki hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.