baba dur chale gae
rail kī āhanī pahiyoñ meñ
ik jumbish huī
dhīre dhīre baḌhī raftār us kī
pahle darje ke
ek Dabbe meñ
ek tanhā musāfir
muḌ muḌ kar ye kis ko dekhtā thā
hilā kar haath us se
kah rahā thā
alvidā.a ruḳhsat
aur vo nannhī sī
ik ma.asūm bachchī
apnī maañ kā haath mazbūtī se thāme
rail kī baḌhtī huī raftār ko
nīchā dikhāne
dauḌne lagtī hai tezī se aur
ruñdhī huī āvāz meñ
ye kahtī jaatī hai
ḳhudā hāfiz mire baabā ḳhudā hāfiz
ādāb mire baabā ādāb
tez raftārī se gaaḌī
ho ga.ī nazroñ se ojhal aur
maañ ke pairoñ se lipaT kar
rote rote
kahā bachchī ne
ammī jaise baabā jaan
ham ko chhoḌ kar tanhā ga.e haiñ
duur ham sab se
ye va.ada kījiye ammī
ki mujh ko chhoḌ kar
bilkul akelī
kabhī mat jā.iyegā
kabhī mat jā.iyegā
merī ammī merī ammī
rail ki aahani pahiyon mein
ek jumbish hui
dhire dhire baDhi raftar us ki
pahle darje ke
ek Dabbe mein
ek tanha musafir
muD muD kar ye kis ko dekhta tha
hila kar hath us se
kah raha tha
alwidaa ruKHsat
aur wo nannhi si
ek masum bachchi
apni man ka hath mazbuti se thame
rail ki baDhti hui raftar ko
nicha dikhane
dauDne lagti hai tezi se aur
rundhi hui aawaz mein
ye kahti jati hai
KHuda hafiz mere baba KHuda hafiz
aadab mere baba aadab
tez raftari se gaDi
ho gai nazron se ojhal aur
man ke pairon se lipaT kar
rote rote
kaha bachchi ne
ammi jaise baba jaan
hum ko chhoD kar tanha gae hain
dur hum sab se
ye wada kijiye ammi
ki mujh ko chhoD kar
bilkul akeli
kabhi mat jaiyega
kabhi mat jaiyega
meri ammi meri ammi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.