baba guru-nanak dev
baba guru-nanak dev
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
ek jism-e-nā-tavāñ itnī dabāoñ kā hujūm
ik charāġh-e-sub.h aur itnī havāoñ kā hujūm
manzileñ gum aur itne rahnumāoñ kā hujūm
e'tiqād-e-ḳhām aur itne ḳhudāoñ kā hujūm
kashmakash meñ apne hī ma.abad se katrātā huā
aadmī phirtā thā dar dar Thokareñ khātā huā
haq ko hotī thī har ik maidāñ meñ bātil se shikast
sar-nigūñ sar-dar-garebāñ sar-basar the zerdast
fan thā ik matlab-barārī log the matlab-parast
is-qadar bigḌā huā thā zindagī kā bandobast
hāmī-e-jaur-o-sitam har tarah mālā-māl thā
jis kī lāThī thī usī kī bhaiñs thī ye haal thā
kyā ḳhudā kā ḳhauf kaisā jazba-e-hubb-e-vatan
barsar-e-paikār the aapas meñ shaiḳh-o-barahman
bāġhbāñ jo the vo ḳhud the mahv-e-taḳhrīb-e-chaman
al-ġharaz bigḌī huī thī anjuman kī anjuman
maz.hab-e-insāniyat kā pāsbāñ koī na thā
kārvāñ lākhoñ the mīr-e-kārvāñ koī na thā
rūh-e-insāñ ne ḳhudā ke sāmne fariyād kī
jo zamīñ par ho rahā thā sab bayāñ rūdād kī
aur kahā had ho chukī hai kufr kī ilhād kī
ek duniyā muntazir hai aap ke irshād kī
tab ye farmāyā ḳhudā ne sab ko samjhā.ūñgā maiñ
aadmī kā ruup dhāran kar ke ḳhud ā.ūñgā maiñ
is tarah āḳhir huā duniyā meñ nānak kā zuhūr
farsh-e-tilwanDī pe utrā arsh se rabb-e-ġhafūr
uTh gayā zulmāt kā Derā baḌhā har samt nuur
mamba.a-e-anvār se phailīñ shuā.eñ duur duur
mehr-e-tābāñ ne do-ālam meñ ujālā kar diyā
aadmī ne aadmī kā bol-bālā kar diyā
ek jism-e-na-tawan itni dabaon ka hujum
ek charagh-e-subh aur itni hawaon ka hujum
manzilen gum aur itne rahnumaon ka hujum
e'tiqad-e-KHam aur itne KHudaon ka hujum
kashmakash mein apne hi mabad se katraata hua
aadmi phirta tha dar dar Thokaren khata hua
haq ko hoti thi har ek maidan mein baatil se shikast
sar-nigun sar-dar-gareban sar-basar the zerdast
fan tha ek matlab-barari log the matlab-parast
is-qadar bigDa hua tha zindagi ka bandobast
hami-e-jaur-o-sitam har tarah mala-mal tha
jis ki laThi thi usi ki bhains thi ye haal tha
kya KHuda ka KHauf kaisa jazba-e-hubb-e-watan
barsar-e-paikar the aapas mein shaiKH-o-barahman
baghban jo the wo KHud the mahw-e-taKHrib-e-chaman
al-gharaz bigDi hui thi anjuman ki anjuman
mazhab-e-insaniyat ka pasban koi na tha
karwan lakhon the mir-e-karwan koi na tha
ruh-e-insan ne KHuda ke samne fariyaad ki
jo zamin par ho raha tha sab bayan rudad ki
aur kaha had ho chuki hai kufr ki ilhad ki
ek duniya muntazir hai aap ke irshad ki
tab ye farmaya KHuda ne sab ko samjhaunga main
aadmi ka rup dhaaran kar ke KHud aaunga main
is tarah aaKHir hua duniya mein nanak ka zuhur
farsh-e-tilwanDi pe utra arsh se rabb-e-ghafur
uTh gaya zulmat ka Dera baDha har samt nur
mamba-e-anwar se phailin shuaen dur dur
mehr-e-taban ne do-alam mein ujala kar diya
aadmi ne aadmi ka bol-baala kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.