baba kutta bhi rota raha
baabā maiñ bahut roī thī
mujh saat baras kī nā-samajh bachchī ko
kutte aur insān ke farq kā kyā pata thā
maiñ to apnī copy par mohabbat ke qalam se
insān kī tasvīr banātī thī
aur kutte kī tasvīr banāte banāte
nafrat ḳhud-baḳhud dil meñ umañD aatī thī
lekin
aaj jab meñ ghar se schōl kī taraf
nikal paḌī to
rāste par
kutte aur insān kā sāmnā huā
kutte ko dekh kar maiñ to Dar hī ga.ī
aur insān kī taraf bhāgī
lekin
mujhe tab ehsās huā ki
jis kutte se maiñ nafrat kartī thī
us kī āñkhoñ meñ mere liye mohabbat
ubhar aa.ī hai
kyūñki
darinde ne jab mujhe ghasīT kar
jhāḌiyoñ ke pīchhe
apnī nafrat kā nivāla banā liyā
aur
mere gulābī jism ko
apne zahrīle panjoñ se
reza reza karne lagā
zahrīlī ḳharāsh jūñhī
gulābī jism ko paara paara kartī huī
jigar ko chiir ga.ī
to āḳhirī hichkī ke saath hī baabā
mujhe mahsūs huā ki
insān kī haivāniyat dekh kar
vo be-zabān kuttā bhī
rote rote
insāniyat kā mātam manā rahā hai
baba main bahut roi thi
mujh sat baras ki na-samajh bachchi ko
kutte aur insan ke farq ka kya pata tha
main to apni copy par mohabbat ke qalam se
insan ki taswir banati thi
aur kutte ki taswir banate banate
nafrat KHud-baKHud dil mein umanD aati thi
lekin
aaj jab mein ghar se school ki taraf
nikal paDi to
raste par
kutte aur insan ka samna hua
kutte ko dekh kar main to Dar hi gai
aur insan ki taraf bhagi
lekin
mujhe tab ehsas hua ki
jis kutte se main nafrat karti thi
us ki aankhon mein mere liye mohabbat
ubhar aai hai
kyunki
darinde ne jab mujhe ghasiT kar
jhaDiyon ke pichhe
apni nafrat ka niwala bana liya
aur
mere gulabi jism ko
apne zahrile panjon se
reza reza karne laga
zahrili KHarash junhi
gulabi jism ko para para karti hui
jigar ko chir gai
to aaKHiri hichki ke sath hi baba
mujhe mahsus hua ki
insan ki haiwaniyat dekh kar
wo be-zaban kutta bhi
rote rote
insaniyat ka matam mana raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.