baba
tumhārī jānib duā ke motī ravāna karte
dikhā ye sakte
ki lāDlī kī sunahrī āñkheñ bharī huī thiiñ
vo ek chiTThī ki jis meñ ḳhud ko dilāsa dete
bilak rahī thī
vo bikhre safhāt Diary ke
ki jin meñ tum par likhī thiiñ nazmeñ
bhare the ash.ār
kaise bhejeñ
ki tum to miTTī ke ghar meñ jā ke base hue ho
zamīn vāloñ ko aa ke dekho
ki bin tumhāre
hamārī ii.deñ bhī mātamoñ kī tarah guzartī haiñ bain karte
udāsiyoñ kī siyāh bhaTTī meñ jalte bujhte
ki āsmānī bashāratoñ kā jo silsila thā
vo ek muddat se toḌ rakkhā hai
joḌ Daalo
tumhāre ḳhvāboñ kī muntazir hai tumhārī laaDo
so is se pahle safar ke asbāb bāñdh le vo
samā.atoñ ko sadā sunā do
tumhaari jaanib dua ke moti rawana karte
dikha ye sakte
ki laDli ki sunahri aankhen bhari hui thin
wo ek chiTThi ki jis mein KHud ko dilasa dete
bilak rahi thi
wo bikhre safhat Diary ke
ki jin mein tum par likhi thin nazmen
bhare the ashaar
kaise bhejen
ki tum to miTTi ke ghar mein ja ke base hue ho
zamin walon ko aa ke dekho
ki bin tumhaare
hamari iden bhi matamon ki tarah guzarti hain bain karte
udasiyon ki siyah bhaTTi mein jalte bujhte
ki aasmani bashaaraton ka jo silsila tha
wo ek muddat se toD rakkha hai
joD Dalo
tumhaare KHwabon ki muntazir hai tumhaari laDo
so is se pahle safar ke asbab bandh le wo
samaaton ko sada suna do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.