babul teri yaad
Interesting Fact
(Dedicated to his father)
baabā aise meñ tum yaad bahut aate ho
kaisī rut hai
aisī rut meñ
āñkheñ kyoñ bhar aatī haiñ
kyoñ tan-man se huuk uThtī hai
kyoñ jīvan be-ma.anī sā lagne lagtā hai
ghar suunā vīrān ye āñgan
aur kamroñ meñ vahshat
bābul maiñ tanhā
merī qīmat tujh bin kyā hai
kuchh bhī nahīñ hai
maiñ to kāñch kā motī huuñ
bābul kā āñgan to sāvan meñ yaad aayā kartā hai
lekin baabā maiñ to patjhaḌ dekh ke rotī huuñ
baabā aise meñ tum yaad bahut aate ho
raat ko sūkhe patte
sahn meñ girte haiñ
guzre din kab phirte haiñ
phir aatī rut phuul khileñge
phir qabroñ par ronā
aur qabroñ sā honā
miTTī kī tah meñ bhī jā kar
rishte kab miTte haiñ
dard kī dīmak jism ko chāTtī rahtī hai
aur sāñsoñ ke dhāge kāTtī rahtī hai
baba aise mein tum yaad bahut aate ho
kaisi rut hai
aisi rut mein
aankhen kyon bhar aati hain
kyon tan-man se huk uThti hai
kyon jiwan be-mani sa lagne lagta hai
ghar suna viran ye aangan
aur kamron mein wahshat
babul main tanha
meri qimat tujh bin kya hai
kuchh bhi nahin hai
main to kanch ka moti hun
babul ka aangan to sawan mein yaad aaya karta hai
lekin baba main to patjhaD dekh ke roti hun
baba aise mein tum yaad bahut aate ho
raat ko sukhe patte
sahn mein girte hain
guzre din kab phirte hain
phir aati rut phul khilenge
phir qabron par rona
aur qabron sa hona
miTTi ki tah mein bhi ja kar
rishte kab miTte hain
dard ki dimak jism ko chaTti rahti hai
aur sanson ke dhage kaTti rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.