baad-az-KHuda
charāg hai, kitāb hai savāl hai, javāb hai
ki āsmāñ muñDer hai ki ye zamīñ bhī Dher hai
kisī kā koī naam hai na zindagī mudām hai
magar vo ek shaḳhs hai jo dhuup kī kagār hai
jahāñ kā us pe baar hai
chale chalo ki vaqt hai, azaab kitnā saḳht hai
magar vo kab zavāl hai, vo mausamoñ kī shaal hai
pahan rahī hai shaam bhī badal rahī hai raat bhī ki ug rahā hai āsmāñ kī dhul rahī hai phir sahar
charāg hai, kitāb hai, savāl hai, javāb hai
magar haiñ log aaj kal
na is taraf na us taraf na is taraf na us taraf
charag hai, kitab hai sawal hai, jawab hai
ki aasman munDer hai ki ye zamin bhi Dher hai
kisi ka koi nam hai na zindagi mudam hai
magar wo ek shaKHs hai jo dhup ki kagar hai
jahan ka us pe bar hai
chale chalo ki waqt hai, azab kitna saKHt hai
magar wo kab zawal hai, wo mausamon ki shaal hai
pahan rahi hai sham bhi badal rahi hai raat bhi ki ug raha hai aasman ki dhul rahi hai phir sahar
charag hai, kitab hai, sawal hai, jawab hai
magar hain log aaj kal
na is taraf na us taraf na is taraf na us taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.