baad-e-KHizan ko kya parwa hai
october hai
kohre kī ik mailī chādar tanī huī hai
apne ghar meñ baiThā maiñ khiḌkī se bāhar dekh rahā huuñ
bāhar saare peḌ
darīda piile yarqānī pattoñ ke
maT-maile malbūs meñ lipTe nisf barahna
bād-e-ḳhizāñ se ulajh rahe haiñ
harf harf pattoñ kā abjad
patjhaḌ kī be-rahm havā ko sauñp rahe haiñ
maiñ bhī alif se chaltā chaltā
ab yā-e-mārūf pe paañv Tikā kar baiThā
ek qadam aage maj.hūl ko dekh rahā huuñ
nañge bachche dīmak chāTe
umr rasīda peḌ bhī apnā abjad kho kar
barf kā bojh nahīñ sah paate gir jaate haiñ
october se chal kar maiñ bhī
apne abjad kī qutbīnī ye kī yaḳh-basta chaukhaT par
jūñhī shikasta paañv rakhūñgā gir jā.ūñgā
bād-e-ḳhizāñ ko kyā parvā hai
us ko to peḌoñ ko girānā hī aatā hai
october hai
kohre ki ek maili chadar tani hui hai
apne ghar mein baiTha main khiDki se bahar dekh raha hun
bahar sare peD
darida pile yarqani patton ke
maT-maile malbus mein lipTe nisf barahna
baad-e-KHizan se ulajh rahe hain
harf harf patton ka abjad
patjhaD ki be-rahm hawa ko saunp rahe hain
main bhi alif se chalta chalta
ab ya-e-maruf pe panw Tika kar baiTha
ek qadam aage majhul ko dekh raha hun
nange bachche dimak chaTe
umr rasida peD bhi apna abjad kho kar
barf ka bojh nahin sah pate gir jate hain
october se chal kar main bhi
apne abjad ki qutbini ye ki yaKH-basta chaukhaT par
junhi shikasta panw rakhunga gir jaunga
baad-e-KHizan ko kya parwa hai
us ko to peDon ko girana hi aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.