baad ke baad
sahīfe utarne se pahle aur nabiyoñ ke nuzūl ke ba.ad
haath se gire hue nivāloñ kī tarah hameñ kuttoñ ke aage Daal diyā jaatā rahā
is darmiyān, āñkhoñ ke nīche ham ne apne haath rakhe
ki vo paaoñ par na gir paḌeñ aur kāñch kā e'tibār jaatā rahe
mujhe aag se likh aur paanī se ugā
miTTī ke saath insāf maiñ ḳhud karūñgī
vo to qadam qadam kāñToñ kī baaḌ tak ḳhud chal kar ga.e
aag pahnāvā karte the jo log
aur jo akelā thā us ne sargoshī ījād kī
aur jis ne qabīla chāhā us ne chīḳheñ banā.īñ aur raat ke parindoñ meñ baañT diiñ
pardesī hue haath kūñjeñ pakaḌte rah ga.e
havā kā bichhaunā judā.ī kī uñgliyoñ ne bunā aur mohabbat karne vaale dil ne sameTā
kyā paañv jūtoñ ke liye bane the yā manziloñ ke liye?
phir thakan ne kis ke paañv toḌe
aur kaun asiir kiyā ki us se jūtoñ kī qīmat pūchhe aur insān ke bhaav batā.e
phir e'tibār ne kis ke Taḳhne kaaTe ki vo āsmān samet zamīn par aa rahe
ḳhudāvand! bhiil qabīle ke log gosht khānā kab sīkhe
jab un ke muñh ko ḳhuun aur dil ko ḳhauf-e-ḳhudā lag gayā
phir is ke ba.ad vo sar na uThā sake
āzādī sirf ek ThanDī saañs thī maqdūr-bhar
aur ġhulāmī! umr bhar kī roTiyāñ!!
sahife utarne se pahle aur nabiyon ke nuzul ke baad
hath se gire hue niwalon ki tarah hamein kutton ke aage Dal diya jata raha
is darmiyan, aankhon ke niche hum ne apne hath rakhe
ki wo paon par na gir paDen aur kanch ka e'tibar jata rahe
mujhe aag se likh aur pani se uga
miTTi ke sath insaf main KHud karungi
wo to qadam qadam kanTon ki baD tak KHud chal kar gae
aag pahnawa karte the jo log
aur jo akela tha us ne sargoshi ijad ki
aur jis ne qabila chaha us ne chiKHen banain aur raat ke parindon mein banT din
pardesi hue hath kunjen pakaDte rah gae
hawa ka bichhauna judai ki ungliyon ne buna aur mohabbat karne wale dil ne sameTa
kya panw juton ke liye bane the ya manzilon ke liye?
phir thakan ne kis ke panw toDe
aur kaun asir kiya ki us se juton ki qimat puchhe aur insan ke bhaw batae
phir e'tibar ne kis ke TaKHne kaTe ki wo aasman samet zamin par aa rahe
KHudawand! bhil qabile ke log gosht khana kab sikhe
jab un ke munh ko KHun aur dil ko KHauf-e-KHuda lag gaya
phir is ke baad wo sar na uTha sake
aazadi sirf ek ThanDi sans thi maqdur-bhar
aur ghulami! umr bhar ki roTiyan!!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 538)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.