baada-e-nim-ras
kis qayāmat kā tabassum hai tire hoñToñ par
isti.āroñ meñ bhaTakte haiñ ḳhayālāt mire
maiñ ki har saañs ko ik sher banā saktā huuñ
nazm hone ko pareshān haiñ jazbāt mire
aañkh jamtī nahīñ lahrāte hue qadmoñ par
kisī naġhme kā talātum hai ki raftār tirī
raqs añgḌā.iyāñ letā hai tirī bāñhoñ meñ
hairat-āsār hai kyoñ chashm-e-fusūñ-bār tirī
be-ḳhayālī meñ nasheboñ se guzarne vaalī
farsh-e-hamvār se uljheñge qadam rah rah kar
lab thirak jā.eñge alfāz kī mausīqī par
apnī raftār se uljheñge qadam rah rah kar
dekhte dekhte bharpūr javānī kī hayā
terī bebāk nigāhoñ meñ samā jā.egī
parda-e-chashm se nikleñgī jhijak kar nazreñ
zulf Dartī huī ruḳhsār pe lahrā.egī
jism har-gām pe laġhzish kā ishāra pā kar
jām-e-labrez kī mānind chhalak jā.egā
reshmīñ reshmīñ zulfoñ se phisaltā āñchal
kabhī shānoñ se kabhī sar se Dhalak jā.egā
tere chehre pe tire jism ke har goshe par
abhī ik aur jilā aur tarāsh aa.egī
apne a.azā ke tanāsub pe ta.ajjub hogā
pesh-e-ā.īna guzartī huī sharmā.egī
yuuñ tirī chaal meñ aa.egā javānī kā vaqār
jaise martūb fazāoñ meñ ghaTā jhūmtī hai
jis tarah shaam ko sandal ke ghane jangal meñ
apnī ḳhushbū se girāñ-bār havā jhūmtī hai
kis qayamat ka tabassum hai tere honTon par
istiaron mein bhaTakte hain KHayalat mere
main ki har sans ko ek sher bana sakta hun
nazm hone ko pareshan hain jazbaat mere
aankh jamti nahin lahraate hue qadmon par
kisi naghme ka talatum hai ki raftar teri
raqs angDaiyan leta hai teri banhon mein
hairat-asar hai kyon chashm-e-fusun-bar teri
be-KHayali mein nashebon se guzarne wali
farsh-e-hamwar se uljhenge qadam rah rah kar
lab thirak jaenge alfaz ki mausiqi par
apni raftar se uljhenge qadam rah rah kar
dekhte dekhte bharpur jawani ki haya
teri bebak nigahon mein sama jaegi
parda-e-chashm se niklengi jhijak kar nazren
zulf Darti hui ruKHsar pe lahraegi
jism har-gam pe laghzish ka ishaara pa kar
jam-e-labrez ki manind chhalak jaega
reshmin reshmin zulfon se phisalta aanchal
kabhi shanon se kabhi sar se Dhalak jaega
tere chehre pe tere jism ke har goshe par
abhi ek aur jila aur tarash aaegi
apne aaza ke tanasub pe tajjub hoga
pesh-e-aina guzarti hui sharmaegi
yun teri chaal mein aaega jawani ka waqar
jaise martub fazaon mein ghaTa jhumti hai
jis tarah sham ko sandal ke ghane jangal mein
apni KHushbu se giran-bar hawa jhumti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.