baadal
bas-ki duniyā pe musībat kī ghaTā chhā.ī thī
ahl-e-ālam kī ġharaz jaan pe ban aa.ī thī
dil meñ bādal ke ḳhudā jaane ki kyā aa.ī thī
buuñd paanī kī na kambaḳht ne barsā.ī thī
yuuñ to bādal ka.ī ghir ghir ke chale aate the
va.ade karte the magar va.adoñ se phir jaate the
bas-ki majbūr the vo ādat-e-ḳhud-ġharzī se
taur un ke jo barasne ke the sab farzī the
shor ko apne jo vo sarf-e-havā karte the
bahr-e-aflāk meñ tūfān bapā karte the
maiñ ne ye kah hī diyā aap ke sab hiile haiñ
garjne vaale mire dosto kab barse haiñ
bādal allah ne banā.e the baras jaane ko
kisī dahqān kī qismat pe taras khāne ko
dil unheñ maiñ ne barasne se churāte dekhā
ek aañsū na nigāhoñ se bahāte dekhā
bhuul jaate haiñ jo sach pūchho to zar vaale bhī
ki makānoñ ke huā karte haiñ parnāle bhī
dekhte dekhte bādal sabhī barbād hue
hausle vaale vahīñ aan ke ābād hue
ashk dahqāñ kī musībat pe bahāne aa.e
muñh meñ khetī ke vahīñ paanī churāne aa.e
sāġhar-e-dil meñ mai-e-dard bharī rakhte the
aur rahmat kī lagā.e vo jhaḌī rakhte the
phir to vīrānoñ ko gulzār banā kar chhoḌā
beḌā duniyā kā ġharaz paar karā kar chhoḌā
abr-e-bārāñ ne jo yuuñ apnī dikhā.ī himmat
shāmil-e-hāl huī hai ke ḳhudā kī rahmat
apnī rahmat meñ ḳhudā ne unheñ ābād kiyā
apne siine se lagā kar unheñ dil-shād kiyā
zinda rahte haiñ 'purī' mard saḳhāvat vaale
yaad rah jaate haiñ duniyā meñ muravvat vaale
bas-ki duniya pe musibat ki ghaTa chhai thi
ahl-e-alam ki gharaz jaan pe ban aai thi
dil mein baadal ke KHuda jaane ki kya aai thi
bund pani ki na kambaKHt ne barsai thi
yun to baadal kai ghir ghir ke chale aate the
wade karte the magar wadon se phir jate the
bas-ki majbur the wo aadat-e-KHud-gharzi se
taur un ke jo barasne ke the sab farzi the
shor ko apne jo wo sarf-e-hawa karte the
bahr-e-aflak mein tufan bapa karte the
main ne ye kah hi diya aap ke sab hile hain
garjne wale mere dosto kab barse hain
baadal allah ne banae the baras jaane ko
kisi dahqan ki qismat pe taras khane ko
dil unhen main ne barasne se churaate dekha
ek aansu na nigahon se bahate dekha
bhul jate hain jo sach puchho to zar wale bhi
ki makanon ke hua karte hain parnale bhi
dekhte dekhte baadal sabhi barbaad hue
hausle wale wahin aan ke aabaad hue
ashk dahqan ki musibat pe bahane aae
munh mein kheti ke wahin pani churane aae
saghar-e-dil mein mai-e-dard bhari rakhte the
aur rahmat ki lagae wo jhaDi rakhte the
phir to viranon ko gulzar bana kar chhoDa
beDa duniya ka gharaz par kara kar chhoDa
abr-e-baran ne jo yun apni dikhai himmat
shamil-e-haal hui hai ke KHuda ki rahmat
apni rahmat mein KHuda ne unhen aabaad kiya
apne sine se laga kar unhen dil-shad kiya
zinda rahte hain 'puri' mard saKHawat wale
yaad rah jate hain duniya mein murawwat wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.