baadal
chalo itnā to ho paayā
ki tum ne bādaloñ ke chand TukḌoñ ko hamāre paas bhejā hai
hamārī pyaas kī ḳhātir zarā sī aas bhejī hai
chaTaḳhte aur pyāse niile hoñToñ ko tasavvur meñ
ḳhayāloñ meñ kisī be-vasl aur be-mausmī ġham kī namī kā narm giilā aur gulābī sā koī ehsās to hogā
jise maiñ ne duā kī shāḳh se bāñdhā huā hai ab
badan meñ kuchh tirī utre sisakte aur tapte dasht meñ uḌtī taḌaptī sar paTaktī ret kā ehsās miT jaa.e
so aisā ho gayā ab
pahāḌoñ kī sī sañglāḳhī ḳhamoshī aur māyūsī ḳharāshoñ kī aziyyat miT chukī hai
tire bheje hue bādal ko chhūne se
chalo itnā to ho paayā
chalo itna to ho paya
ki tum ne baadalon ke chand TukDon ko hamare pas bheja hai
hamari pyas ki KHatir zara si aas bheji hai
chaTaKHte aur pyase nile honTon ko tasawwur mein
KHayalon mein kisi be-wasl aur be-mausmi gham ki nami ka narm gila aur gulabi sa koi ehsas to hoga
jise main ne dua ki shaKH se bandha hua hai ab
badan mein kuchh teri utre sisakte aur tapte dasht mein uDti taDapti sar paTakti ret ka ehsas miT jae
so aisa ho gaya ab
pahaDon ki si sanglaKHi KHamoshi aur mayusi KHarashon ki aziyyat miT chuki hai
tere bheje hue baadal ko chhune se
chalo itna to ho paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.