chhā.e hue haiñ chaar taraf pāra-hā-e-abr
āġhosh meñ liye hue duniyā-e-āb-o-rañg
mere liye hai un kī garaj meñ surūd-o-chañg
paiġhām-e-imbisāt hai mujh ko sadā-e-abr
uTThī hai halke halke suroñ meñ navā-e-abr
aur qatr-hā-e-āb bajāte haiñ jal-tarañg
gahrā.iyoñ meñ ruuh kī jaagī hai har umañg
dil meñ utar rahe haiñ mire naġhm-hā-e-abr
muddat se luT chuke the tamannā ke bār-o-barg
chhāyā huā thā ruuh pe goyā sukūt-e-marg
chhoḌā hai aaj ziist ko ḳhvāb-e-jumūd ne
un bādaloñ se taaza huī hai hayāt phir
mere liye javān hai ye kā.enāt phir
shādāb kar diyā hai dil un ke surūd ne!
chhae hue hain chaar taraf para-ha-e-abr
aaghosh mein liye hue duniya-e-ab-o-rang
mere liye hai un ki garaj mein surud-o-chang
paigham-e-imbisat hai mujh ko sada-e-abr
uTThi hai halke halke suron mein nawa-e-abr
aur qatr-ha-e-ab bajate hain jal-tarang
gahraiyon mein ruh ki jagi hai har umang
dil mein utar rahe hain mere naghm-ha-e-abr
muddat se luT chuke the tamanna ke bar-o-barg
chhaya hua tha ruh pe goya sukut-e-marg
chhoDa hai aaj zist ko KHwab-e-jumud ne
un baadalon se taza hui hai hayat phir
mere liye jawan hai ye kaenat phir
shadab kar diya hai dil un ke surud ne!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.