baadshah teri dahliz ka darban hai
ashtār
ai āsmānoñ kī malika
bādshāh terī dahlīz kā darbān hai
lagāsh
aur
aur
arj meñ
tere naam kā sikka Dhaltā hai
terī zulfeñ
zafar-mand lashkar kā pharerā haiñ
aur
chehra
sub.h ke mashriq kā āsmān
furāt kā chamaktā paanī
terā ā.īna hai
kuñvāriyāñ
tere muqaddas ahāte meñ
apnī ismat kā sunahrā sikka
bheñT karne aatī haiñ
to mīnāra-e-bābul kī bulandī se
bāñjh zamīn ke naam
bār-āvrī kā sandesa likhtī hai
ai bahut se nāmoñ vaalī
terī hatheliyāñ
tere tamavvuz ke hāthoñ kī garmī se dahaktī haiñ
jis ke safed ma.abad ke sunahrī kalas
merī āñkhoñ ko ḳhīra karte haiñ
tere mātam-dāroñ ke āza-e-tanāsul
terī bārgāh kā chaḌhāvā haiñ
azhdahā
tere paañv ke tavāzun pe martā hai
safed sher
tere sunahre rath ke ghoḌe haiñ
tere sar par
par-dār bel kā saaya hai
ai bār-āvrī kī devī
tere qadmoñ kī aahaT se
murda zamīn
naaf tak dhaḌak uThtī hai
ashtar
ai aasmanon ki malika
baadshah teri dahliz ka darban hai
lagash
aur
aur
arj mein
tere nam ka sikka Dhalta hai
teri zulfen
zafar-mand lashkar ka pharera hain
aur
chehra
subh ke mashriq ka aasman
furaat ka chamakta pani
tera aaina hai
kunwariyan
tere muqaddas ahate mein
apni ismat ka sunahra sikka
bhenT karne aati hain
to minara-e-babul ki bulandi se
banjh zamin ke nam
bar-awri ka sandesa likhti hai
ai bahut se namon wali
teri hatheliyan
tere tamawwuz ke hathon ki garmi se dahakti hain
jis ke safed mabad ke sunahri kalas
meri aankhon ko KHira karte hain
tere matam-daron ke aaza-e-tanasul
teri bargah ka chaDhawa hain
azhdaha
tere panw ke tawazun pe marta hai
safed sher
tere sunahre rath ke ghoDe hain
tere sar par
par-dar bel ka saya hai
ai bar-awri ki dewi
tere qadmon ki aahaT se
murda zamin
naf tak dhaDak uThti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.