baghbani
bachchoñ ne ik baaġh lagāyā
baaġh ko apne ḳhuub sajāyā
karte vo kaam baarī baarī
paude lagāte kyārī kyārī
roz vo ḳhabar us kī lete
vaqt pe khaad aur paanī Dālte
rañg-birañge phuul mahakte
aa ke parinde us pe chahakte
phal bhī mīThe mīThe aate
phal bhī vo jo sab ko bhāte
jo bhī bachcha mehnat kartā
vaqt maze se us kā guzartā
bachchon ne ek bagh lagaya
bagh ko apne KHub sajaya
karte wo kaam bari bari
paude lagate kyari kyari
roz wo KHabar us ki lete
waqt pe khad aur pani Dalte
rang-birange phul mahakte
aa ke parinde us pe chahakte
phal bhi miThe miThe aate
phal bhi wo jo sab ko bhate
jo bhi bachcha mehnat karta
waqt maze se us ka guzarta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.