bahar aadhi barish ho rahi hai
ā.īne ko shumār mat karo
vo ek qadam nahīñ chal saktā
qadam aur ā.īne kā ta'alluq
jhāñknā hai to aañkh se jhāñkte
kamre ke bāhar kyā din hai
bāhar sarsabz pahāḌiyoñ kā ta.ana hai
bāhar aadhī bārish ho rahī hai
bāloñ meñ koī girah nahīñ rahtī
vaqt rahtā hai
kamre ke andar kyā din hai
āvāz milā kar koī sadā mat de denā
dīvāroñ par chorī hone lage
to is kā matlab hai
ham donoñ mahfūz nahīñ haiñ
havā.eñ zamīn kī kanghī kar rahī haiñ
aaine ko shumar mat karo
wo ek qadam nahin chal sakta
qadam aur aaine ka ta'alluq
jhankna hai to aankh se jhankte
kamre ke bahar kya din hai
bahar sarsabz pahaDiyon ka tana hai
bahar aadhi barish ho rahi hai
baalon mein koi girah nahin rahti
waqt rahta hai
kamre ke andar kya din hai
aawaz mila kar koi sada mat de dena
diwaron par chori hone lage
to is ka matlab hai
hum donon mahfuz nahin hain
hawaen zamin ki kanghi kar rahi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.