baam-o-dar
har ik saa.at
har ik nafas
maiñ ki mar rahā huuñ
bikhar rahā huuñ
kise ḳhabar hai
ki maiñ jo kal thā vo ab nahīñ huuñ
kise ḳhabar hai
ki maiñ jo chand lamhe peshtar thā
vo ab nahīñ huuñ
kise ḳhabar hai
ki maiñ jo
ab huuñ vo phir na hūñgā
ki maiñ jo har likhtā mar rahā huuñ
bikhar rahā huuñ
kise ḳhabar hai
ki ye imārat mire badan kī
azīm-tar hai
ki jo ba-zāhir qadīm-tar hai
khulā hai har ek raaz mujh par ab is khañDar kā
tilism TuuTā hai bām-o-dar kā
har ek saat
har ek nafas
main ki mar raha hun
bikhar raha hun
kise KHabar hai
ki main jo kal tha wo ab nahin hun
kise KHabar hai
ki main jo chand lamhe peshtar tha
wo ab nahin hun
kise KHabar hai
ki main jo
ab hun wo phir na hunga
ki main jo har likhta mar raha hun
bikhar raha hun
kise KHabar hai
ki ye imarat mere badan ki
azim-tar hai
ki jo ba-zahir qadim-tar hai
khula hai har ek raaz mujh par ab is khanDar ka
tilism TuTa hai baam-o-dar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.