bandiyan
mere mālik
kyā ham bāñdiyāñ haiñ
jo aag meñ jalā kar maar dī jaa.eñ
ham vo javāniyāñ haiñ
mohabbat ke naam par jo masal dī jaa.eñ
ham vo kaliyāñ haiñ
havas kā nishāna banā kar
jin ke par noch liye jaa.eñ
ham vo titliyāñ haiñ
jo maslahat ke naam par
qurbān kar dī jaa.eñ ham vo beTiyāñ haiñ
jo shara.ī jā.edād se mahrūm kar dī jaa.eñ ham vo bahneñ haiñ
mere mālik
kyuuñ ham bāñdiyāñ haiñ
mere malik
kya hum bandiyan hain
jo aag mein jala kar mar di jaen
hum wo jawaniyan hain
mohabbat ke nam par jo masal di jaen
hum wo kaliyan hain
hawas ka nishana bana kar
jin ke par noch liye jaen
hum wo titliyan hain
jo maslahat ke nam par
qurban kar di jaen hum wo beTiyan hain
jo sharai jaedad se mahrum kar di jaen hum wo bahnen hain
mere malik
kyun hum bandiyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.