banka sipahi main apne watan ka
jaañ se bhī pyārī jahāñ se bhī pyārī
ye sarzamīñ āsmāñ se bhī pyārī
hai koī shai hindustāñ se bhī pyārī
bāñkā sipāhī maiñ apne vatan kā
aafat koī aa.e to duur kar duuñ
duniyā ko jhukne pe majbūr kar duuñ
ye baat saare meñ mash.hūr kar duuñ
bāñkā sipāhī maiñ apne vatan kā
maiñ vo ki dushman ke narġhe ko toḌūñ
maiñ vo ki dhāre havāoñ ke moḌūñ
maiñ vo ki patthar se paanī nichoḌūñ
bāñkā sipāhī maiñ apne vatan kā
parbat nadī khet khaliyān pyāre
hindū chahete musalmān pyāre
dhartī kā ham sab ye ehsān pyāre
bāñkā sipāhī maiñ apne vatan kā
jaan se bhi pyari jahan se bhi pyari
ye sarzamin aasman se bhi pyari
hai koi shai hindustan se bhi pyari
banka sipahi main apne watan ka
aafat koi aae to dur kar dun
duniya ko jhukne pe majbur kar dun
ye baat sare mein mashhur kar dun
banka sipahi main apne watan ka
main wo ki dushman ke narghe ko toDun
main wo ki dhaare hawaon ke moDun
main wo ki patthar se pani nichoDun
banka sipahi main apne watan ka
parbat nadi khet khaliyan pyare
hindu chahete musalman pyare
dharti ka hum sab ye ehsan pyare
banka sipahi main apne watan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.