bansuri
mujhe sabz safar dar-pesh hai
sūraj-mukhī kā baaġh
havā ke sang nāchtā
aur chāñd gungunā rahā hai
rang mere haiñ
magar phuul merā kyoñ nahīñ
kā.enāt ke siine meñ
bajtā saaz
mujhe talāshnā hai
masarratoñ ko Thikāna dikhātī
dukhoñ ko
un ki maqām pe muntaqil kartī
basīratoñ se
mahrūm nigāhoñ meñ rang bhartī
banjar samā.atoñ kā rizq
kahāñ gum-shuda hai
us dhun tak mujhe jaanā hai
ye jahāñ
kis sar pe mahv-e-raqs hai
taḳht hazāre se
jhang tak kā safar
bāñsurī hai
mujhe sabz safar dar-pesh hai
suraj-mukhi ka bagh
hawa ke sang nachta
aur chand gunguna raha hai
rang mere hain
magar phul mera kyon nahin
kaenat ke sine mein
bajta saz
mujhe talashna hai
masarraton ko Thikana dikhati
dukhon ko
un ki maqam pe muntaqil karti
basiraton se
mahrum nigahon mein rang bharti
banjar samaaton ka rizq
kahan gum-shuda hai
us dhun tak mujhe jaana hai
ye jahan
kis sar pe mahw-e-raqs hai
taKHt hazare se
jhang tak ka safar
bansuri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.