baqi daere Khaali hain
rañgoñ aur ḳhushbuoñ kī taḳhlīq se pahle
marne vaale lamhe kī nam āñkhoñ se
ā.inda ke ḳhvāboñ kī uryānī kā dukh jhāñk rahā thā
ḳhat-e-shu.ūr se aaj agar ham
us lamhe kī samt kabhī dekheñ to ruuh meñ jāgtī
giilī miTTī kī āvāz sunā.ī detī hai
ye duniyā to miTe hue us dā.ere kī sūrat kā aks hai
jis meñ sochoñ āñkhoñ aur harfoñ ke lākhoñ dā.ere larzāñ haiñ
chāroñ jānib ḳhushbuoñ ke āñgan meñ jalte hue rañgoñ kī lahreñ
havā kī Dor se bañdhī huī aisī kaTh-putliyāñ haiñ
jo apne janam kī saa.at se is pal tak
chup kī lai par naach rahī haiñ
jaane kab se uryāñ ḳhvāboñ kā pairāhan pahne
aate jaate lamhoñ par chillātī haiñ
dekho ġhaur se dekho
ye uryānī maḳhfī aur zāhir meñ zinda rābte kī ḳhātir
apnī asl kī jānib jhukte insānoñ ke
vasl-talab-jazboñ kī tarah savālī haiñ
baaqī dā.ere ḳhālī haiñ
rangon aur KHushbuon ki taKHliq se pahle
marne wale lamhe ki nam aankhon se
aainda ke KHwabon ki uryani ka dukh jhank raha tha
KHat-e-shuur se aaj agar hum
us lamhe ki samt kabhi dekhen to ruh mein jagti
gili miTTi ki aawaz sunai deti hai
ye duniya to miTe hue us daere ki surat ka aks hai
jis mein sochon aankhon aur harfon ke lakhon daere larzan hain
chaaron jaanib KHushbuon ke aangan mein jalte hue rangon ki lahren
hawa ki Dor se bandhi hui aisi kaTh-putliyan hain
jo apne janam ki saat se is pal tak
chup ki lai par nach rahi hain
jaane kab se uryan KHwabon ka pairahan pahne
aate jate lamhon par chillati hain
dekho ghaur se dekho
ye uryani maKHfi aur zahir mein zinda rabte ki KHatir
apni asl ki jaanib jhukte insanon ke
wasl-talab-jazbon ki tarah sawali hain
baqi daere KHali hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.