baraat ka ghoDa
ḳhudā
tū ne mujhe ghoḌā banāyā to
magar bārāt kā
jis ke aage nāchte rahte haiñ log
note dāñtoñ meñ dabā.e
kyā nazar meñ haiñ tirī vo zulm
jo mujh par hue haiñ is karam kī aaḌ meñ
race ke maidān ke badle
kisī manDap talak kā ye safar
kitnā thakā detā hai mujh ko
kyā tujhe mā'lūm hai
kyā tujhe mā'lūm hai dūlhe kā bojh
us ko baiThāne kī zimmedāriyāñ
aur us par is qadar hassās dil
jo samajh saktā hai is din ke ma'ānī kyā haiñ dūlhe ke liye
koī kaisā bhī paTāḳha chhoḌ de pairoñ meñ mere
shor se baaje ke mere kaan bhī phaT jaa.eñ to kyā
chaal meñ apnī zarā sā farq maiñ aane na dūñgā
piiTh par baiThe hue dūlhe kī 'izzat merī 'izzat
haañ magar ye bhī ḳhayāl aatā hai aksar
maiñ to har zillat uThā kar
apnī zimmedāriyāñ puurī karūñgā aur kartā aa rahā huuñ
tū magar kab is tarah sochegā us maḳhlūq ke baare meñ
jo terī amaañ meñ hai
KHuda
tu ne mujhe ghoDa banaya to
magar baraat ka
jis ke aage nachte rahte hain log
note danton mein dabae
kya nazar mein hain teri wo zulm
jo mujh par hue hain is karam ki aaD mein
race ke maidan ke badle
kisi manDap talak ka ye safar
kitna thaka deta hai mujh ko
kya tujhe ma'lum hai
kya tujhe ma'lum hai dulhe ka bojh
us ko baiThane ki zimmedariyan
aur us par is qadar hassas dil
jo samajh sakta hai is din ke ma'ani kya hain dulhe ke liye
koi kaisa bhi paTaKHa chhoD de pairon mein mere
shor se baje ke mere kan bhi phaT jaen to kya
chaal mein apni zara sa farq main aane na dunga
piTh par baiThe hue dulhe ki 'izzat meri 'izzat
han magar ye bhi KHayal aata hai aksar
main to har zillat uTha kar
apni zimmedariyan puri karunga aur karta aa raha hun
tu magar kab is tarah sochega us maKHluq ke bare mein
jo teri aman mein hai
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 156)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.